Masbooq Ne Imam Ke Sath Sajda E Sahw Kiya Phir Apni Namaz Me Galti Ki Wajah Se Dubara Sajda E Sahw Karega

 *Masbooq Ne Imam Ke Sath Sajda E Sahw Kiya Phir Apni Namaz Me Galti Ki Wajah Se Dubara Sajda E Sahw Karega ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Masbooq Ne Imam Ki Iktidaa Me Sajdaye Sahw Kiya Tha Imam K Salam Pherne K Baad Masbooq Se Apni Infiradi Raqat Me Sahw Huwa to Kya Is Haal Me Use Sajdaye Sahw Kerna Padega? Ya Imam K Saat Wala Sajdaye Sahw Kaafi Hoga?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Masbooq Yaani Jis Shakhs Ki Kuchh Rakateñ Fout Ho Gayiñ, Usne Imam Ke Sath Sajda E Sahw Kiya, Phir Vo Apni Baqiya Namaz Ada Karne Ke Liye Khada Huva or Usme Bhi Kisi Wajah Se Sajda E Sahw Wajib Ho Gaya, to Vo Dubara Sajda E Sahw Karega, Imam Ke Sath Kiya Huva Pahle Wala Sajda E Sahw Kaafi Nahiñ Hoga.

Yahañ Bazaahir Ek Hi Namaz Me Do Sajda E Sahw Ada Ho Rahe Hai (Jo Shar'an Mashrooa Nahiñ) Lekin Yahañ Ye Hukm Is Liye He Ki Masbooq Jab Apni Baqiya Namaz Ada Karta He, to Vo Usme Munfarid Yaani Tanha Namaz Ada Karne Wale Ke Hukm Me Hota He, Is Aitbaar Se Ye Hukmi Taur Par Do Namazeñ Ho Gai, Lihaza Ye Donoñ Sajda E Sahw Ek Namaz Me Nahiñ, Balki Do Alag Alag Namazoñ Me Ada Hoñge.

Hilyatul Mujalla Sharah Muniyatul Musalla Me He,
"ان التکرار فی صلاۃ واحدۃ غیر مشروع وصلاۃ المسبوق صلاتان حکماوان کانت التحریمۃ واحدۃ،لان المسبوق فیما یقضی کالمنفرد ونظیرہ المقیم اذا اقتدی بالمسافر فسھی الامام یتابعہ المقیم فی السھو وان کان المقیم ربما یسھو فی اتمام صلاتہ وعلی تقدیر السھو یسجد فی اصح الروایتین،لکن لما کان منفردا فی ذلک کانتا صلاتین حکما وان کانت التحریمۃ واحدۃ، کذا ھنا"
Tarjama: Beshak Ek Namaz Me Sajda E Sahw Ki Takraar Mashroo'a Nahiñ or Masbooq Ki Namaz Hukmi Taur Par Do Namazeñ Hai, Agarche Takbeere Tahreema Ek Hi He, Kyuñ Ki Masbooq Jo Fout Shuda Rakaateñ Ada Karta He, Usme Vo Tanha Namaz Ada Karne Wale Ki Tarah He.... الخ
*📚(حلبۃ المجلی،ج2،ص452،مطبوعہ دار الکتب العلمیہ،بیروت)*

Or Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Masbooq Ne Imam Ke Sahw Me Imam Ke Sath Sajda E Sahw Kiya, Phir Jab Apni Parhne Khada Huva or Usme Bhi Sahw Huva, Usme Bhi Sajda E Sahw Kare..
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Sajda E Sahw Ka Bayan, Mas'ala-48)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️15 Nov 2023, 30 Rabi Ul Aakhir 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts