Muqtadi Ka Imam Ke Barabar Khade Ho Kar Namaz Padhna ?

 *Imam Or Muqtadi Ka Ek Hi Saf Me Khade Hona Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Mai Mumbai Me Kuch Kaam Se Aaya Tha Wahañ Ek Masjid Hai Jahañ Sirf Mushkil Se Teen Saf Ban Pati Hai, Usme Jahañ Imam Sahab Khade Hote Hain Imamat K Liye Wahiñ Imam K Barabar Farz Namaz Me Muqtadi Bhi Khade Hote Hain, to Kya Imam Aur Muqtadi Ki Namaz Me Koi Farq to Nahiñ ??

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Akela Muqtadi Mard Agarche Ladka Ho Imam Ki Barabar Dahini Jaanib Khada Ho, Baayeñ Taraf Ya Pichhe Khada Hona Makrooh He. Or Do Muqtadi Hoñ to Pichhe Khade Hoñ, Barabar Khada Hona Makroohe Tanzihi He or Do Se Zaaid Ka Imam Ki Barabar Khada Hona Makroohe Tahreemi He...
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Jama'at Ke Masaail, Mas'ala-8)*

Neez Farmate Hai,
Imam Ki Barabar Khade Hone Ke Ye Ma'ana Hai Ki Muqtadi Ka Qadam Imam Se Aage Na Ho Yaani Uske Paanw Ka Gitta Uske Gitte Se Aage Na Ho, Sar Ke Aage Pichhe Hone Ka Kuchh Aitbaar Nahiñ, to Agar Imam Ke Barabar Khada Hua or Chuñki Muqtadi Imam Se Daraaz Qad He Lihaza Sajde Me Muqtadi Ka Sar Imam Se Aage Hota He, Pagar Paanw Ka Gitta Gitte Se Aage Na Ho to Harj Nahiñ, Yuñhi Agar Muqtadi Ke Paanw Bade Hoñ Ki Ungliyañ Imam Se Aage Hai Jab Bhi Harj Nahiñ, Jab Ki Gitta Aage Na Ho.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Jama'at Ke Masaail, Mas'ala-11)*

Lihaza Soorate Mas'oola Me Us Masjid Me Agar Do Se Zaaid Muqtadi Hoñ to Imam Ke Barabar Khada Hona Makroohe Tahreemi He.. Barabar Khade Hona Ka Ye Ma'ana Ki Muqtadi Ke Paanw Ka Gitta Imam Ke Panw Ke Gitte Se Aage Na Ho...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️15 Nov 2023, 30 Rabi Ul Aakhir 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts