Shawl Par Urdu Me Naam Likha Ho Uska Istemaal Karna ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Kya Shawl Wagairah Pe Urdu Me Words (Name Nai Sirf Words ) to Aesi Shawl Odh Sakte Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Is Tarah Ki Shaal Ya Dastarkhwan Ya Chadar Wagairah Ka Istemaal Jaaiz Nahiñ Jis Par Kuchh Likha Hua Ya Kaadha Hua Ho Agarche Puri Tahreer Na Ho Sirf Mufradaat Ho Tab Bhi Mana'a He..

Bahare Shariyat Me He,
Bichhone Ya Musalle Par Kuchh Likha Huva Ho to Usko Istemaal Karna Najaaiz He. Ye Ibarat Uski Banawat Me Ho Ya Kaarhi Gai Ho, Ya Roshnaai Se Likhi Ho, Agarche Huroofe Mufradah Likhe Hoñ Kyuñ Ki Huroofe Mufradah Ka Bhi Ehtiraam He. Aksar Dastarkhwan Par Ibarat Likhi Hoti He Ayse Dastarkhwanoñ Istemaal Me Lana, Un Par Khana Khana Na Chahiye.. Ba'az Logoñ Ke Takiyoñ Par Ash'aar Likhe Hote Hai, Unka Bhi Istemaal Na Kiya Jaye..
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Baab Mutafarriqat, Mas'ala-6)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam 
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️27 Feb 2024, 16 Shaban Ul Muazzam 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts