Subah Nikah Hua Kuchh Der Khalwat Me Rahe To Kya Sham Ko Walima Ki Sunnat Ada Ho Sakti He

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum W Rahematullah,
Kya Soorat He Ki Agar Kisi Ka Aqde Nikah Subah Ko Huva Ho or Phir Miyañ Biwi Sath Me Thora Waqt Guzare or Phir Usi Roz Sham Ko Waleeme Ki Niyyat Se Dawat Ka Ehtemam Kare ? Is Soorat Me Sunnat Ki Adayegi Ho Jayegi ? Baraye Karam Jawab Inayat Farmayeñ 

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ji Puchhi Gai Soorat Me Bhi Dawate Waleema Ki Sunnat Ada Ho Jayegi...

Jaisa Ki Hadees Shareef Me Hazrate Abdullah Ibne Mas'ood Radiallahu Anhu Se Riwayat He,
عن ابن مسعود، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " طعام اول يوم حق، وطعام يوم الثاني سنة، وطعام يوم الثالث سمعة، ومن سمع سمع الله به

Or Huzur Sadrushshariyah Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahmato Ridwan Ne Tahreer Farmaya,
Dawate Waleema Sirf Pahle Din He Ya Uske Baad Dusre Din Bhi Yaani Do Hi Din Tak Ye Dawat Ho Sakti He, Iske Baad Waleema or Shadi Khatam.. Hindustan Me Shadiyoñ Ka Silsila Kai Dino Tak Qaaim Rahta He. Sunnat Se Aage Barhna Riya W Sam'aa He Isse Bachna Zaroori He..
*📚(Bahare Shariyat, H-3, S-392,393)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️22 Oct 2023, 6 Rabi Us Saani 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts