*🌹SAWAL:-🌹*
A. Umra Ke Liye Bager Mahram Ke Safar Karna Kesa..??
B. Kiya Ek Khandan Ki 3 se Zaeed Khawatin Sath He to Ijazat He..?
C. Is Safar Me Koi Rukhsati Ke Khas Sab He..??
D. Kiya "a B C" Ke Zimn Me Imam E Ahle Sunaat Ne Is Pe Hukm Diya Ho to Bayan Karde
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Aurat Ko Bagair Shohar Ya Mahram Ke 3 Din Ya Zyada Ka Safar Karna Najaaiz He Khwah Vo Safar Umrah Ka Ho Ya Haj Ka Ya Kisi or Kaam Ka, Chahe Ek Aurat Ho Ya Chand Aurteñ Ho Kisi Safar Ke Liye Aurat Ko Jaaiz Nahiñ Ki Bagair Mahram Ya Shohar Ke Safar Kare.
Bahare Shariyat Me He,
Aurat Ko Bagair Mahram Ke Teen Din Ya Zyada Ki Raah Jaana Najaaiz He Balki Ek Din Ki Raah Jana Bhi.. Nabaalig Bachcha Ya Ma'ituh (Mad'hosh, Ya Kam Aql) Ke Sath Bhi Safar Nahiñ Kar Sakti Hamraahi Me Baalig Mahram Ya Shohar Ka Hona Zaroori He.
*📚(Jild-1, Hissa-4, Namaze Musafir Ka Bayan, Safha-752)*
واللہ تعالی اعلم
*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Zaiyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadim Sadrushshariyah Darul Ifta W Darul Uloom Raza E Mustafa, Bharuch, Gujarat*
*🗓️7 Apr 2024, 27 Ramzanul Mubarak 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment