*🌹SAWAL:-🌹*
Heela E Sharai K Zariye Waaliden Ko Jakat Ki Raqam Dena Kaisa Jabki Kuch Majbooriya Peshtar Ho
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Maale Zakaat Ka Heela E Sharai Karke Maañ Baap Ko Dena Jaaiz Nahiñ or Na Hi Apne Kaam Me Istemaal Karna Jaaiz He.. Ye Fe'al Mamnoo'a W Bad He, Albatta Zakat Ada Ho Jayegi Ki Isme Faqeer Ko Maal Ka Malik Bana Dene Se Heela E Sharai Ho Gaya.. Lekin Bagair Zaroorat Ke Heela Karna Jaaiz Nahiñ He Ki Isme Fuqra or Mustahiqe Zakat Logoñ Ka Haq Marna or Baatil Karna He. Jo Ki Haram He..
Jaisa Ki Fathul Baari Sharah Sahihul Bukhari Me He,
" ھی مایتوصل بہ الی مقصود بطریق خفی ۔وھی عند العلماء علی اقسام بحسب الحامل علیھا ۔فان توصل بھا بطریق مباح الی ابطال حق او اثبات فھی حرام ‘‘
Tarjama: Heela Ye He Ki Jaaiz Tareeqe Se Kisi Maqsood Tak Pahunchna.. Or Aulma Ke Nazdeek Heela Karne Wale Ke Aitbaar Se Uski Kai Aqsaam Hai: Agar Jaaiz Tareeqe Se Gair Ke Haq Ko Batil Ya Batil Cheez Ko Hasil Karne Ke Liye Kiya Jaye Haram He..
*📚(فتح الباری ،شرح صحیح بخاری ،ج:۱۲،ص:۴۰۴)*
Or Tafheemul Masaail Me He,
Agar Jaaiz Tareeqe Se Kisi Ka Haq Baatil Kiya Jaye Ya Kisi Batil Ko Hasil Kiya Jaye To Ye Heela Haram He.
*📚(Tafheemul Masaail, J-2, S-175)*
واللہ اعلم باالصواب
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Shababuddin Misbahi Sahab*
*📬Darul Uloom Shahe Aalam, Ahemdabad Gujrat*
*🗓️7 Apr 2024, 27 Ramzanul Mubarak 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment