Chinese Namak Ya Chinese Khana Khana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Eid Mubarak Baat
Hazrat Sawal Hai Ki Chinese Me Baj Log Kahate Hain Chinese Mein  Sauce Masale Ke Andar Suwar Ka Istemal Hota Hai ??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kisi Bhi Tarah Ka Khana Ho Ya Cheniees Hi Khana Ya Chinese Namak Jise Ajino Motto Bhi Kahte He Uske Haram Hone Ke Liye Ye Zaroori He Ki Uske Liye Shahadate Sharai Ya Yaqeene Kamil Ho... Bagair Yaqeene Kamil Ya Sharai Shahadat Ke Ki Is Khane Me Haram Ashya Mili Hui He Ya Nahiñ Us Shay Ya Us Khane Ko Jiska Asl Paak Ho Use Haram Nahiñ Kah Sakte.. Lihaza Jab Tak Saboote Sharai Ya Yaqeene Kamil Se Sabit Na Ho Jaye Ki Cheniees Khane Me Suwwar Ki Charbi Ya or Koi Haram Ashya Mili Hui He Tab Tak Us Khane Ko Haram Na Kaheñge Vo Jaaiz W Mubah He Kyuñ Ki Ye Muamla Hurmat W Najasat Ke Ta'alluq Se He.. Lekin Agar Koi Iske Khane Se Bache To Bhi Harj Nahiñ... Or Agar Saboote Sharai Ya Yaqeene Kamil Se Sabit Ho Jaye Ya Company Wale Khud Us Product Ke Baare Me Bata De Ki Ham Isme Haram Ashya Ki Milawat Karte Hai to Uska Khana Najaaiz W Haram Hoga...

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Shariyate Mutahhara Me Tahaarat W Hillat Asl Hai or Unka Saboot Khud Hasil Ki Apne Asbaat Me Kisi Daleel Ka Mohtaaj Nahiñ or Hurmat W Najasate Aarzi Ki Unke Saboot Ko Daleele Khas Darkaar or Mahaz Shukook W Zunoon Se Unka Asbaat Na Mumkin... الخ

Or Aage Farmate Hai,
Jab Kisi Ko Kisi Shay Par Mana'a W Inkaar Karte or Use Haram Ya Makrooh Ya Najaaiz Kahte Suno Jaan Lo Ki Baare Saboot Uske Zimma He Jab Tak Daleele Wazeh Sharai Se Sabit Na Kare Uska Daawa Usi Par Mardood or Jaaiz W Mubah Kahne Wala Bilkul Sabakdosh Ki Uske Liye Tamassuk Ba-asl Maujud...

Or Allama Abdul Gani Naablusi Quddassirahu Qudsi Ki Hadeeqa E Nadiya Sharah Tareeqa E Muhammadiya Ke Hawale Se Naql Kiya Usi Me He,
Lihaza Jab Paani, Khane Ya Uske Alawa Kisi Dusri Cheez Ki Taharat Me Jo Najeese Ayn Nahiñ He Shak Paida Ho to Ye Cheez Wazu Ke Haq Me Paak He, or Uska Khana Bhi Jaaiz.. الخ 
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-4, S-476,477)*
(Mazeed Tafseel Isi Risala Me Maujud He)

Or Sarkar Tajushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Se *11 July 2011 Ke Session* Me Isi Tarah Ka Suwal Hua Ki Chinese Food Me Jo Ajino Motto (Chinese Namak) Istemaal Hota He Uska Khana Kesa Kuchh Logoñ Se Suna Isme Koi Haram Cheez Dalte Hai.... Jisle Jawab Me Aap Ne Farmaya Ki,

Sune Sunaai Baat Ki Bina Par Hurmat Kisi Cheez Ki Sabit Nahiñ Ho Sakti, Is Liye Ki Hurmat Ye Diyanaat Me Se He or Diyanaat Me Fasiq Ki or Kaafir Ki Khabar Mahez Na Moatabar He.. Diyanaat Me Khabar Ke Moatabar Hone Ke Liye Zaroori Ye He Kam Se Kam Masturul Haal Ho Uski Adaalat Or Uska Sachcha Hona Logoñ Ke Samne Zahir Ho.. Aysa Hi Shakhs Agar Koi Khabar Deta He to Zaroor Ye Khabar Subah He or Uski Khabar Par Aitemad Karke Agar Koi Bache to Usko Bachne Ka Haq He or Yuñhi Bazaahir Afwah Ho to Us Par Amal Jaaiz Nahiñ He..
Http://jamiaturraza.com/session/11july11/23.mp3
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️15 Apr 2024, 5 Shawwal 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts