Shadi Se Pahle Gahne Pahanna Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Hamare Yahañ Ki Ladkiyañ Shadi Se Pahle Gahne (Chudi or Nathuni Bhi) Nahiñ Pahanti.. Kahti He Ki Gahne Suhagan Ki Nishani He Ise Shadi Ke Baad Hi Pahna Ja Sakta He.. In Aurtoñ Par Kya Hukm Lagega or Bina Gahnoñ Ke Namaz Padhe to Namaz Ka Kya Hukm He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ye Sahih Nahiñ Ke Naak Ya Kaan Me Gehna Ya Zewar Isi Tarah Chudi Shadi Ke Baad Hi Pahen Sakte Our Ye Suhagan Ki Hi Nishani He.. Balki Chhoti Bachchiyoñ Ke Naak Kaan Chhedne Ki Ijazat He Agar Unko Zewar Pahenna Jaaiz Na Hota Ya Mana'a Hota to Uski Ijazat Na Hoti.. Albatta Ye Sahih He Ke Jo Suhagan Hoti He Wo Apne Haath Chudiyoñ Se Umooman Khali Nahiñ Rakhti Magar Na Pehne Ya Kisi Wajah Se Utar De to Iska Matlab Ye Nahiñ Ke Wo Ab Suhagan Na Rahi..

Chhoti Bachchiyoñ Ke Naak Kaan Chhedne Ke Ta'alluq Se *📚Bahaar E Shariat Hissa 16 Zeenat Ke Bayan* Me He,
Ladkiyoñ Ke Kaan Naak Chhedna Jaaiz He or Ba'az Log Ladkoñ Ke Bhi Kaan Chhedwate Hai or Durya Pahnate Hai Ye Najaaiz He Yaani Kaan Chhedwana Bhi Najaaiz or Use Zewar Pahnana Bhi Najaaiz.

Aurtoñ Ko Hath Paanw Me Mahandi Lagana Jaaiz He Ye Zeenat Ke Cheez He, Bila Zaroorat Chhote Bachchoñ Ke Paanw Me Mahendi Lagana Na Chahiye. Ladkiyoñ Ke Hath Paanw Me Laga Sakte Hai Jis Tarah Unko Zewar Pahna Sakte Hai.
*📚(Mas'ala-2,3)*
 
Lihaza Ye Khayal Galat He Ke Shadi Se Qabl Ladki Naak Kaan Me Zewar Ya Chudi Nahi Pahen Sakti..
Albatta Chhote Bachchoñ Ke Hath Paanw Me Mehndi Lagana, Si Tarah Unke Naak Kaan Chhedna Ye Jaaiz Nahiñ.. Bachchiyoñ Ke Chhed Sakte He.. Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️27 Apr 2024, 17 Shawwal 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts