Electric Mosquito Bat Se Machchar Marna Kesa ?

 *🏸 Electric Mosquito Bat Se Machchar Marna Kesa?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum 
Mosquito Bat Jo Ki Electric Shock Ke Zariye Machhar Marta Hai...
Kya Iska Istemal Jaiz Hai??
Kuchh Logo Ka Aeteraz Hai Ki Aag Ka Azab Dena Allah Ke Liye Khas Hai Is Liye Isse Bachna Chahiye.
Ye Kaha Tak Durust Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Electric Mosquito Bat Se Machchar Marna Jaaiz Nahiñ..

Jaisa Ki Fatawa Utrakhand Me He,
Is Aala ( Electric Mosquito Bat) Ka Kaam He Machcharoñ Ko Jala Dena or Kisi Bhi Jaandar Ko Jalane Se Shariyat Ne Mumaneat Farmaai He.

Hadees Shareef Me He,
عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ عَبْدِ اللهِ ، عَنْ أَبِيهِ ، قَالَ كُنَّا مَعَ رَسُولِ اللهِ الله وسلم فِي سَفَرٍ ، فَانْطَلَقَ لِحَاجَتِهِ ، فَرَأَيْنَا حُمَّرَةً مَعَهَا فَرُخَانِ فَأَخَذْنَا فَرُخَيْهَا ، فَجَاءَتِ الْحُمَرَةُ ، فَجَعَلَتْ تُعَرِّشُ فَجَاءَ النَّبِيُّ عَ ، فَقَالَ مَنْ فَجَعَ هَذِهِ بِوَلَدِهَا ؟ رُدُّوا وَلَدَهَا إِلَيْهَا وَرَأَى قَرْيَةَ نَمْلِ قَدْ حَرَّقْنَاهَا ، فَقَالَ مَنْ حَرَّقَ هَذِهِ ؟ قُلْنَا نَحْنُ ، قَالَ إِنَّهُ لَا يَنْبَغِي أَنْ يُعَذِّبَ بِالنَّارِ إِلَّا رَبُّ النَّارِ.
Hazrat Abdur Rahman Bin Abdullah Apne Walide Girami Se Riwayat Karte Hai Unhoñne Kaha Ki Ham Safar Me Rasoolallah ﷺ Ke Sath the Aap Qaza E Hajat Ko Tashreef Le Gaye Hamne Ek Chidya Dekhi Jiske Sath Do Bachche the Hamne Uske Donoñ Bachche Pakad Liye to Chidya Par Bichhane Lagi Itne Me Nabi E Kareem ﷺ Tashreef Le Aaye Aap Ne Farmaya Use Iske Bachchoñ Ki Wajah Se Kis Ne Tadpaya He Uske Bachche Use Wapas Kardo or Phir Aapne Ek Chyuñtiyoñ Ka Bil Dekha Jise Hamne Jala Diya Tha Farmaya Ki Use Kisne Jalaya? Hamne Kaha Ki Hamne Jalaya He Farmaya Ki Aag Ke Sath Azab Dena Aag Paida Karne Wale Ke Siwa Kisi Ke Liye Munasib Nahiñ He.
*📚(سنن ابو داود، كتاب الادب، باب في قتل الذر ، ۷۱۴/۲)*

Is Hadeese Mubarak Se Saaf Sabit He Ki Jandar Ko Jalane Ka Ikhtiyar Sirf Allah Ko He Bande Ko Iski Ijazat Nahiñ..

Allama Ibne Hajar Asqalaani Alaihir Rahma Sharah Bukhari Me Farmate Hai,
وأما في شرعنا فلا يجوز احراق الحيوان بالنار الا في القصاص بشرطه
Hamari Shariyat Me Jandar Ko Jalana Jaaiz Nahiñ He Albatta Qisaas Me Uski Shart Ke Sath Ijazat He.
*📚(فتح الباری شرح صحیح بخاری، ۳۵۸/۶)*

Durre Mukhtar Me He,
في المبتغى يكره احراق جراد و قمل وعقرب ولا بأس بأحراق حطب فيما نمل
Mubtagi Me He Ki Tiddi Or Ghun (Ek Kida) or Bichchhu Jalana Makrooh He or Agar Lakdi Me Ho to Us Lakdi Ko Jalane Me Koi Harj Nahiñ..

Allama Shami Ne Is Karahat Ko Karahate Tahreemi Qarar Diya He,
”یکرہ احراق جراد“
Ke Tahat Farmate Hai,
ای تحریما
(Yaani Tiddi Wagairah Ko Jalana Makroohe Tahreemi He)
*📚(کتاب الخنثی، ۴۸۲/۱۰)*

Muhiyyat Burhani Me He,
وفي فتاوى أهل سمر قند إحراق القمل والعقرب بالنار مکروه، جاء في الحديث لا يعذب بالنار إلا ربها .
Fatawa Ahle Samar Qandi Me He Tiddi or Bichchhu Ko Jalana Makrooh He Hadees Shareef Me Aaya He Ki Aag Se Azab Nahiñ Dega Magar Aag Paida Karne Wala.
*📚(۲۵۴/۵ ، الفصل الثالث والعشرون)*

Mazkoora Bala Hadeese Mubarak Or Fiqhi Ibaraat Se Saaf Zahir He Ki Kisi Jandar Ko Jalana Jaaiz Nahiñ Kyuñ Ki Jala Kar Azab Dena Sirf Allah Ke Liye He.

Ye Haqeeqat He Ki Machchar Mulhik Janwar He Ke Kaatne Se Insan Ke Jism Me Dengue, Bukhar , Malaria,  or Typhoid Jesi Bahut Sare Mulhik Bumariyañ Paida Ho Sakti Hai or Un Bumariyoñ Ke Sabab Insan Ka Bachna Mushkil Ho Jata He. Lekin Machcharoñ Ko Bhagane or Maarne Ke or Bahut Sare Tareeqe Maujud Hai Unke Hote Huve Is Tareeqa E Kaar Ko Apnana Kisi Bhi Lihaz Se Durust Nahiñ Hona Chahiye..
*📚(Fatawa Utrakhand, J-1, S-327,328,329)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️10 Apr 2024, 30 Ramzanul Mubarak 1444*
📲+918
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts