*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaykum Hazrat
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Iddat Me Aurat Ko Safed Kapde Hi Pahanna Zaroori Nahiñ, Safed Bhi Pahan Sakti He Or Dusre Rang Ke Kapde Bhi Pahan Sakti He, Magar Surkh Wagairah Ya Bharkile Rang Ke Kapde Jo Zeenat Ke Taur Par Pahne Jate He Unse Bachna Wajib or Bila Zaroorate Sharai Kisi Bhi Rang Ke Naye Kapde Bhi Nahiñ Pahan Sakti...
Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Sog Ke Ye Ma'ana Hai Ki Zeenat Ko Tark Kare.. Za'afraan Ya Kusum Ya Geru Ka Ranga Huva Ya Surkh Rang Ka Kapda Pahanna Mana'a He, Yuñhi Purya Ka Ranga Gulabi, Dhaani, Champai or Tarah Tarah Ke Rang Jin Me Taz'in (Banao Singaar) Hota He Sab Ko Tark Kare .
Jis Kapde Ka Rang Purana Ho Gaya Ki Ab Uska Pahanna Zeenat Nahiñ Use Pahan Sakti He. Yuñhi Siyah Rang Ke Kapde Me Bhi Harj Nahiñ Jabki Resham Ke Na Hoñ.
*📚(Bahare Shariyat, H-8, Sog Ka Bayan, Mas'ala-1,2)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️8 May 2024, 28 Shawwal 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment