*Masbooq Muqtadi Apni Chhuti Hui Namaz Kese Ada Kare?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Ulma Ikram Ki Bargah Me Ek Sawal Hai
Sawal:- Agr Imam Teesri (3) Ya Chouthi (4)rakat Me Ho or Fir Mene Niyat Bandhi to Meri Imam Ke Pichhe Do(2) Ya Ek (1) Rakat Huwi or Baki Jo Do (2)ya Teen (3) Rakat Hai Use Kis Trh Adah Karenge Kya Mujhe Surah Fateha Ke Saath or Koi Surah Padhni Hongi ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kisi Masbooq Muqtadi Ko Char Raka'at Wali Namaz Yaani Zuhar, Asar, Ya Isha Ki Sirf Ek Rak'at Mili. Yaani Vo Shakhs Chothi Raka'at Me Shamil Huva, to Imam Ke Salam Pherne Ke Baad Vo (3) Teen Rak'ateñ Hasbe Zail Tarteeb Se Parhega.
"Imam Ke Salam Pherne Ke Baad Khara Ho Jaye or Agar Kisi Wajah Se Sana Na Parhi Thi to Ab Parhle or Agar Pahle Parh Chuka He to Sirf "A'auzu" Se Shuru'a Kare or Pahli Rak'at Me Surah E Fatiha or Surat Parh Kar Ruku'a or Sujood Karke Qa'ada Me Bethe or Qa'ada Me Sirf "At-Tahiyyat" Parh Kar Khada Ho Jaye Phir Dusri Rak'at Me "Al-Hamd" (Surahe Fatiha) or Surat Donoñ Parh Kar Ruku'a or Sujood Karke Bagair Qa'ada Kiye Huve Khada Ho Jaye or Teesri Rak'at Me Sirf Alhamd Shareef Parh Kar Ruku'a W Sujood Karke Qa'ada E Aakhira Karke Namaz Tamam Kare.
*📚(Durre Mukhtar, Bahare Shariyat Hissa-3 Safha-136 or Fatawa Razviya, Jild-3, S-393,396)*
*📚(Momin Ki Namaz, S-209, Shabbir Biradarz Lahor)*
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️8 May 2024, 28 Shawwal 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment