*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Jumuah Ke Farz Namaz Ke Baad Ki 2 Rakat Sunnat Kya Muakkida Hai Ya Gair E Muakkida Hai
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Bahare Shariyat Me He,
Sunnate Muakkada Ye He,
1. Do Raka'at Namaze Fajar Se Pahle
2. Char Zuhar Ke Pahle, Do Baad
3. Do Magrib Ke Baad
4. Do Isha Ke Baad or
5. Char Jumuah Se Pahle, Char Baad Yaani Jumuah Ke Din Jumuah Parhne Wale Par 14 Raka'ateñ Hai or Alawa Jumuah Ke Baaqi Dinoñ Me Har Roz 12 Raka'ateñ..
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Sunan W Nawaafil Ka Bayan, Mas'ala-1)*
Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate hai,
Jumuah ki Sunnate Ba'diya Me Ikhtelaf He. Asl Mazhab Me 4 Hai, وعلیہ المتون Or Ahwat W Afzal 6 Hai.
Imaam Abu Yusuf Rahimahullahi Alaihi Ka Yahi Qaul He Or Isi Par Aksar Mashaaikh Ka Amal He.
*📚Mulakhkhasan: (Fatawa Razviya Mutarjim, J-8, S-326, Raza Foundation Lahor)*
Lihaza Ahwat W Afzal Yahi He Ki Jumuah Ki Sunnate Ba'diya (Sunnate Muakkida) 6 He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️14 Jan 2024, 1 Rajabul Murajjab 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment