*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatahu
Namaz E Qasr Kise Kehte Hai ?
Iske Mutalliq Masa'ail Bayan Kar Dijiye .
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Qasr Ka Ma'ana He Namaz Ko Mukhtasar Karna.. Sharai Musafir Par Allah Ta'ala Ne Aasani Farmai Ki Vo Safar Ki Halat Me Zuhar, Asar or Isha Ki 4 Farz Namazoñ Ko Qasr Namaz Parhe Yaani 4 Ki Jagah 2 Rak'at Hi Parhe..
Momin Ki Namaz Me He,
Musafir Par Wajib He Ki Vo Qasr Namaz Parhe Yaani Char Rak'at Farz Waali Namaz Me Sirf Do Rak'at Parhe Agar Deedah Wa Danista Ba Neest Zyada Sawab Puri Namaz Parhega To Gunahgaar or Mustahiqqe Azab Hoga.. Huzure Aqdas ﷺ Farmate Hai,
صدقۃ تصدق اللہ بھا علیکم فقبلواصدقته
Tarjama: Vo Sadqa He Yaani Aasani He. Allah Ta'ala Tum Par Sadqa (Aasani) Farmata He, to Allah Ka Sadqa Qubool Karo..
Jis Par Shar'an Qasr He or Usne Jahalat Ki Wajah Se (Mas'ala Ki Nawaqifiyat Se) Puri Namaz Parhi to Us Par Muwakhiza He or Us Namaz Ka Pherna Wajib He.
Sirf Zuhar, Asar, or Isha Ke Farzoñ Me Qasr He. Fajar or Magrib Ke Farzoñ Me Qasr Nahiñ. Alawañ Azeeñ Sunnatoñ Me Bhi Qasr Nahiñ. Agar Musafir Sunnat Parhe to Puri Parhe. Albatta Khauf or Rawaa Rawi Yaani Safar Ki Jaldi Ki Halat Me Sunnateñ Muaaf Hai. Aman or Itminaan Ki Halat Me Sunnateñ Parhi Jayeñ or Puri Parhi Jayeñ.
Apne Maqaam Se 57.5 Mil (92.54 Kilo Meter) Ke Fasle Par Alal Ittesaal Jaane or Wahañ (15) Pandarah Din Kamil Thaharne Ka Irada Na Ho to Qasr Kare. Agar Apne Maqam Se Sarhe Sattawan Mil Ke Fasle Par Alal Ittesaal (Mutwatir Yaani Successively) Jana Maqsood Nahiñ Balki Raah Me Kahiñ Thaharte Huve Jana Maqsood He Ya 15 Din Kamil Thaharne Ka Irada He to Ab Vo Musafir Ke Hukm Me Nahiñ, Lihaza Vo Puri Namaz Parhe.
Sarhe Sattawan Mil (57.50 Mil/ 92.54 Km) Ya Usse Zyada Ki Musaafat Ke Safar Ki Garz Se Rawana Hone Wala Apne Shahar Ki Aabadi Se Bahar Hote Hi Us Par Masafir Ke Ahkaam Naafiz Ho Jayeñge. Apne Shahar Ki Aabadi Se Bahar Nikal Kar Vo Qasr Namaz Parhega or Jahañ Ja Raha He Wahañ 15 Din Ya Zyada Thaharne Ki Niyyat or Irada He Phir Bhi Daurane Safar Vo Qasr Namaz Hi Parhega or Jahañ Jane Ka Qasd He Us Maqaam Ki Aabadi Aate Hi Vo Muqeem Ho Jayega or Ab Vo Puri Namaz Parhega.
*📚(Momin Ki Namaz, S-230, 232)*
Ye Sirf Chand Masaail The, Mazeed Tafseel Ke Liye Bahare Shariyat, Qanoone Shariyat, Momin Ki Namaz Wagairah Kutub Ka Muta'ala Kare Or Naziki Sahihul Aqeedah Aalime Deen Se Rabta Kare...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️9 May 2024, 29 Shawwal 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment