Dihaat (Gaanv) Me Qurbani Ka Waqt Kab Se Shuru Hota He ?

 *Dihat (Ganv) Me Qurbani Ka Waqt Kab Se He ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarkatuhu
Huzoor Mufti Ya E Kiram Ke Bargah Me Sawal Arz Hamara Ghar Gawain Dihath Me Parta Hai Jo Sahar Ki Itlak Me Nahi Aata Hai Aur Hamare Yahi Bhi Sabhi Log Bakra Eid Ke Namaz Ke Baad Hi Qurbani Karte Hai To Kiya Ye Jaruri Hai 
Aur Gawain Dihath Me Kab Se Qurbani Kar Sakte Hai Rehnumai Farmayenge In Sha Allah Hu Ta'ala 
Jazak Allah Hu Ta'ala

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Dehat Me Jahañ Eid Ki Namaz Hi Nahiñ He Vahañ Tulue Fajar Ke Baad Se Qurbani Kar Sakte Hai Or Bahetar Ye He Ki Tulue Aaftab Ke Baad Qurbani Kare.. 

Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Shahar Me Qurbani Ki Jaye To Shart Ye He Ki Namaz Ho Chuke Lihaza Namaze Eid Se Pahle Shahar Me Qurbani Nahiñ Ho Sakti Or Dehat (Gaañv) Me Chuñki Namaze Eid Nahiñ He Yahañ Tulue Fajar Ke Baad Se Hi Qurbani Ho Sakti He Or Dehat Me Bahetar Ye He Ki Ba'ade Tulue Aaftab Qurbani Ki Jaye Or Shahar Me Bahetar Ye He Ki Eid Ka Khutba Ho Chukne Ke Baad Qurbani Ki Jaye. Yaani Namaz Ho Chuki He Or Abhi Khutba Nahiñ Huva He Is Soorat Me Qurbani Ho Jayegi Magar Aysa Karna Makrooh He..
*📚(Bahare Shariyat, H-15, Qurbani Ka Bayan, Mas'ala-26)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️12 June 2024, 5 Zul Hijja 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts