*1 Saal Me 20 Din Kam Umr Wale Bakre Ki Qurbani Ka Hukm*
*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamu Alaikum
Hazrat Agar Khassi Wala Bakra Ek Saal Me 15 Se 20 Roz Kam Hai Lekin Dekhne Me Tandarust Hai to Kya Qurbani Ho Jayegi Ya Pura Aik Saal Hona Jaruri Hai Rehnumai Farmayenge in Sha Allah Hu Ta'ala
Name- Muhammad Shamsher Raza Qadri
Qatar Arab Sharif Se
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Shaih Muslim Me Hazrat Jabir Radiallahu Anhu Se Marwi He, Nabi E Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya,
لا تذبحوا الا مسنۃ، الا ان یعسر علیکم، فتذبحوا جذعۃ من الضان
Tum Sirf Musinna (Yaani Ek Saal Ki Bakri, Do Saal Ki Gaaye, or Paanch Saala Unt) Ki Qurbani Karo, Haañ Agar Tum Ko Dushwari Ho, to Duñbe Ya Bher Ka 6 Maaha Bachcha Zabah Kardo
*📚(صحیح مسلم، کتاب الاضاحی، باب سن الاضحیہ، جلد 2، صفحہ 155،مطبوعہ کراچی)*
Lafz Musinna Ke Tahat Allama Sharfuddin Nawwi W Allama Ali Al-Qari Alahimur Rahma Farmate Hai,
Aulma Ne Farmaya: Musinna Se Murad Unt, Gaaye, or Bakri Har Ek Me Sani (Dunda) Ya Us Se Bada Hona He..
Or Isi Tarah Ka Ek Sawal Ki Farba Bakra Jis Ki Umr Saal Bhar Hone Me 20 Roz Kam He Uski Qurbani Jaaiz He Ya Nahiñ Jiske Jawab Me Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Qurbani Ke Liye Bakre Ki Umr Pure Ek Saal Ki Hona Zaroori He, Agar Ek Din Bhi Kam Hoga to Uski Qurbani Shar'an Jaaiz Na Hogi..
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-459)*
Lihaza Bakre Ke Liye Qurbani Ki Umr Kam Se Kam 1 Saal He, Us Se Ek Din Bhi Hijri Saal Ke Hisab Se Kam Hoga to Uski Qurbani Jaaiz Nahiñ.. Agarche Dekhne Me Tandurast Lagta Ho... Yahi Hukm Khassi Wale Bakre Ke Liye Bhi He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️12 June 2024, 5 Zul Hijja 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment