*Eide Ghadeer Manane Ya Usko Jaaiz Kahne Wale Peer Se Bay'at Hona Or Ayse Ki Iqteda Me Namaz Ka Hukm.*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu AlaiKum
Kiya Farmate Hai Ulam E Kiram W Muftiyan E Izam Kiya Un Peero Ki Bait Jaiz Hai Jo Eid E Gadeer Mante Hai Ya Ise Jaiz Kehte Hai Or Jo Imam Eid E Gadeer Manaye Ya Ise Jaiz Kahe Unke Piche Namaz Padna Jaiz Hai . Rahnumai Farmaye
Abu Arsalan
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Abhi 2 Din Pahle Hi Hamne Ek Clip Me Puri Tafseel Se Bataya Tha Ki Eide Ghadeer Manana Ye Rafziyoñ Ki Ijaad He Or Unka Khas Mazhabi Shiaar He.. Chuñki Vo Ye Samajhte He Ki Nabi E Kareem ﷺ Ke Baad Khilafat Ke Sabse Zyada Or Pahle Haqdaar Hazrat Ameerul Mu'amineen Ali Ibne Abi Talib Karramallahu Ta'ala Wajhahul Kareem The, Magar Hazrate Abu Bakarr Siddique Ne Unse Khilafat Chhin Li (Ma'azallah) Or Apni Is Baat Ko Ek Hadees Se Baatil Taur Par Sabit Karte Hai..
Or Unke Bataur 18 Zulhijjah Nabi E Kareem ﷺ Ne Hazrat Ali Ko Khalifa E Bila Fasl Hone Ki Basharat Di Thi Isi Ki Khushi Me Ye Log Eide Ghadeer Manate Hai...
Lihaza Ahle Sunnat Ke Nazdik Eide Ghadeer Manana Ye Najaaiz Or Sakht Haram He, To Jo Peer Ho Kar Eide Ghadeer Manaye Ya Use Jaaiz Kahe To Aysa Peer Fasiqe Muallin Ho Jata He, Or Jo Fasiqe Muallin Ho Uski Bay'at Karna Hargiz Hargiz Jaaiz Nahiñ..
Isi Tarah Jo Imam Eide Ghadeer Jaaiz Kahe Ya Use Manaye To Vo Bhi Fasiqe Muallin Ho Gaya Or Jo Imam Fasiqe Muallin He Uske Pichhe Namaz Jaaiz Nahiñ.. Or Agar Padhi Jayegi To Vo Wajibul Ae'aada Hogi..
Lihaza Ayse Peer Or Ayse Imam Par Lazim He Ki Apne Is Qaul W Fe'al Se Aelaniya Ruju'a Kare, Jab Tak Vo Apne Qaul Se Alaniya Ruju'a Na Kare Tab Tak Unke Pichhe Na Namaz Padhe Or Unki Bay'at Hargiz Hargiz Na Kare...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*🎙️Al-jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Baani Sadrushshariyah Academy W Sadrul Mudarriseen W Mufti Darul Uloom Anware Madina Khambhaliya, Gujarat*
*🗓️27 June 2024, 21 Zulhijjah 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*_Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare._*
No comments:
Post a Comment