*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat,
Jumma K Din Zohar Ki Sunnat Namaz Me Niyat K Doran, Wakt Konsa Kehna Chaiye Zohar Ka Ya Jumma Ka..?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Imame Ahle Sunnat Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Fatawa Razviya Shareef Me Tahreer Farmate Hai,
Jumuah Ki Niyyat Me "Farze Jumuah" or Chahe Ye Bhi Barhaye "Waste Isqaate Zuhar Ke" (Yaani Zuhar Ko Saaqit Karne Wali), or Qabl Ki Sunnatoñ Me "Sunnate Qable Jumuah" , Baad Ki Sunnatoñ Me "Sunnate Ba'ade Jumuah" (Niyyat Kareñ).
*📚(Fatawa Razviya Shareef, J-23, S-103)*
Ya'ani Yahañ Jumuah Hi Ki Niyyat Kareñ, Zuhar Ki Niyyat Na Kare, Jumuah Farz Se Pahle Jo 4 Rak'at Sunnat He Vo "Jumuah Ki Char Raka'at Sunnat" or Baad Me Jo 4 Rak'at or Do Raka'at Sunnateñ He Usme Jumuah Ki Hi Sunnatoñ Ka Hi Naam Diya Jaye, Zuhar Ka Naam Na Diya Jaye...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Mufti Salman Raza Mustafai Sahab*
*📬Jamia Madinatul Uloom Ratanpur Kheda Gujrat*
*🗓️29 June 2024, 23 Zul Hijja 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment