*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Kuchh Log Kahte Hain Ki Ahle Sunnat Wa Jamat K Maulana Chillate Bahut Hai Ye Halaq Phadke Taqreer Karte Hai, Unka Aisa Kahna Kaisa Hai Hazrat ? Aur Maine Suna Hai Ki Josh O Jazbat Me Taqreer Karna Sunnat Bhi Hai Aur Gaus E Paak Ki.. Tashreeh Farmay ?
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ye Mahaz Bohtan Hai, Jahalat Hai , Ya Bugz Wa Hasad Hai Jo Wahabiyat Wa Sulhe Kulliyat Ki Sohbat Se Aksar Aata Hai..
Pehli Baat to Ye He Ke Sunniyoñ Me Sabhi Aulma Khutba Chillate Nahiñ Hain Balke Aksar Woh Mileñge Jinke Andaz Me Josh Kam Tafheem Zyada Hoti Hai, Aur Rahi Baat Khutbe Ke Dauraan Baaz Maqamat Par Josh Me Aane Ki to Jaan Leñ Ki Khutbe Me Josh Ki Jagah Josh Hona Hi Balagat Ka Taqaza Bhi Hai..
Sahih Muslim Mein Hazrat Jabir Bin Abdullah Se Riwayat Hai Farmate Hain...
كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا خطب احمرت عيناه وعلا صوته واشتد غضبه حتى كأنه منذر جيش.....
Nabiye Paak صلی اللہ علیہ وسلم Jab Khutba Irshad Farmate (Ro Bohot Ehtemam Karte) Aap Ki Aankheñ Surkh Ho Jati, Aawaz Mubarak Buland Hoti Aur Jalal Ka Izhar Farmate Aisa Lagta Ke Jaise Pure Lashkar Ko Aane Wale Khatre Se Dara Rahe Hein.....
Lihaza Aaj Khutbe Me Munkarat Ka Radd Ya Jaise Shayateene Zamana Wahabiyoñ Rafziyoñ Ke Khilaf Daleel Dene Ke Baad Natijatan Un Ko Qadmoñ Me Patakte Hue Batil Kehte Waqt Josh Hona Lazim Hai, Ya Unki Harkatoñ Ke Radd Me Gussa Aana Imaan Ka Hissa Hai...
Aur Rahi Baat Kuchh Kam Ilm Khutaba Ke Be-jaa Josh Ki to Ye Ahle Sunnat Me Hi Munhasir Kahañ Hain ! Balki Rawafiz Ko Dekha Hai ? Aksar Woh Kuttoñ Ki Tarah Bhoñkte Hain, Wahabiyoñ Ko Suna Hai ? Beshtar Gadhoñ Ka Sa Chillate Hain. Is Liye Apni Jahalat Ke Sabab Adme Wijdaan Ko Adme Wojood Sabit Karne Ki Koshis Na Kareñ...
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Juned Raza Azhari Sahab Qibla*
*_📬Fazile Jame'a Azhar Misr, Nadiyad Gujarat_*
*🗓️30 June 2024, 24 Zulhijjah 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*_Amanat Me Khayanat Na Kare, Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare_*
No comments:
Post a Comment