Aurat Par Aasebi Asar Ho Or Pregnant Ho To Kya Isqaate Hamal Kar Sakte He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Warehmatullahi Wabarakatuhu... 
Meri Jo New Bhabhi Hai Unke Upr Kuch Asar Hogya Hai or Wo 2mnth Pregnant Bhi Hai Wo Kuch Khaa Nhi Rhi 15 Din Hogye Kuch Nhi Khya Unhone or Wo Yh B Bhul Gai Ki Wo Pregnant Hai... Aise Mein Kya Abortion Krwa Skte Hai...?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Zarooratan Jaan Padne Se Pehle Hamal Gira Sakti He.. Magar Ye Aaseb Wagairah Ka Muaamla Jab Tak Pura Yaqeeni Na Ho Tab Tak Un Par Etemad Nahi Kiya Ja Sakta.. Lihaza Agar Us Shadi Shuda Ki Awlad Moujud He Our Ab Aysi Halat He Ki Waqai Aaseb Ya Jadu Ne Asar Kiya He Jo Jald Thik Bhi Hone Ki Ummid Nahiñ He, Aur Usko Khud Ka Hosh Bhi Nahi He, to Aysi Surat Me Isqat E Hamal Karwa Sakti He.. 
Ke Isqat E Hamal Mutlaqan Na Jaaiz O Haram Nahiñ
Haañ Bila Zaroorat Karwana Na Jaaiz O Haram He....(Bahetar He Pahle Kisi Achhe Aamil Wagairah Ko dikha Kar Ilaaj Karaya Jaye)

Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Muhaddise Bareilvy Radiallahu Anhu Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Tahreer Farmate Hai, Agar Abhi Bachcha Nahiñ Bana Jaaiz He, Warna Najaaiz Ki Be Gunah Ka Qatl He Or Char Mahine Me Bachcha Ban Jata He.
*📚(Fatawa Razviya, J-9, Nisf Aakhir, S-151)*

Or Tahreer Farmate Hai Ki,
Jaan Pad Jaane Ke Baad Isqaate Hamal Haraam He or Aysa Karne Wala Goya Qaatil He or Jaan Padne Se Pahle Agar Koi Zaroorat Ho to Harj Nahiñ.
*📚(Ayzan, S-260)*
Lihaza Agar Zaroor Ho to 4 Mahina Pahele Hamal Girana Jaaiz He.
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-331)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️26 July 2024, 19 Muharramul Haram 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts