Nange Sar Quraan Ki Tilawat Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Nange Sar Qurane Pak Ki Tilawat Karna Kesa Hain ???

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Topi Pahan Kar Ya Sar Dhank Kar Tilawat Karna Zyada Adab Ke Kareeb He... Lihaza Bahetar Ye He Ki Qur'an Shareef Ki Jab Tilawat Ki Jaye to Sar Dhank Kar Ya Topi Pahan Kar Ki Jaye, Lekin Nange Sar Ya Bagair Topi Ke Qur'an Majeed Ki Tilawat Karne Me Bhi Harj Nahiñ Jabki Qillate Adab Se Na Ho...

Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Nange Sar Tilawat Me Harj Nahiñ Jabki Qillate Adab Se Na Ho, or Agar Khush'a W Tazallul (Aajazi) Maqsood He to Bahetar He.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-205)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad*
*🗓️26 July 2024, 19 Muharramul Haram 1446*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare.*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts