Bachhe Ki Pedaish Se Pahle Niyyat Karli Ki Fulaañ Naam Rakhege Or Pedaish Ke Baad Naam Tabdil Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat
Hazrat Ek Masle Ki Wajahat Kijiye.! 

Jab Bachcha Maa Ke Pet Me Tha Tabhi Uski Maa Ne Niyat Kara Ki Agar Ladka Hua to Mai Iska Ye Naam Rakhungi
Fir Jab Ladka Hua to Kuch Duniyaavi Masla (Addmission, Documentation) Ki Wajah Se Ab Uska Naam Change Karne Ki Nobat Aa Rahi Hai.!

To Ab Uska Naam Change Karne Ka Kya Hukm Hoga.?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Wazeh Rahe Bachchoñ Ke Liye Kisi Achche Naam Ka Intekhab Karna ( Yaani Koi Munasib Ma'ana Wala Naam Rakhna) Walid Ki Zimma Daari He, Agar Kisi Wajah Se Bachche Ka Aysa Naam Rakh Diya Gaya Ho, Jo Islami Ta'alimaat Ke Manaafi Ho ( Yaani Namunasib Ma'ana Wala Naam Ho) to Use Badal Dena Chahiye, Neez Nabi E Paak ﷺ Bure Naamoñ Ko Badal Kar Achcha Naam Rakha Karte the...

*📚Tirmizi Shareef* Me He,
عن عائشة: أن النبي صلی الله علیه وسلم كان یغیر الإسم القبیح.
*📚(ابواب الأداب، باب ماجاء فی تغییر الأسماء، ج:2، ص:11)*

Paidaish Se Pahle Jo Naam Rakha Uska Aitbaar Nahiñ He, Naam Rakhne Ka Aitbaar to Paidaish Ke Baad Hi He, Neez Paidaish Ke Baad Bhi Naam Rakh Kar Badla Ja Sakta He, Albatta Ye Zaroori He Ki Jo Bhi Naam Rakha Jaye Vo Achche Ma'ana Par Mushtamil Ho, Ya Ambiya E Kiraam Alaihimus Salaam Ya Sahaba E Kiram Radiallahu Anhum Ya Nek Musalmanoñ Ke Naam Par Ho..

*📚Faizul Qadeer Sharah Al-jami Us Sageer* Me He,
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم :سموا بأسماء الأنبياء.
*📚(رقم الحدیث:4717، ط:المكتبة التجارية، مصر)*
وللہ تعالیٰ اعلم بالصواب
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Olpad Surat, Gujarat*
*🗓️24 July 2024, 16 Muharramul Haram 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza KhanPetlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts