Zaid Namaz Padh Raha He Or Bakar Se Kuchh Aayat Suni Or Yaad Ho Gai Fir Vahi Aayat Usi Rakaat Ya Dusri Rakaat Me Padhe To Namaz Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Zaid Namaz Me Surah Fatiha Parh Raha He, Umru Wahañ Beth Kar Tilawate Qura'an Kar Raha Tha Ki Kuchh Aayateñ Zaid Ne Sunli or Surah Fatiha Ke Dauran Hi Use Yaad Ho Gaya Ya Ruku'a Me Suna or Yaad Ho Gaya or Ab Rakaate Saaniya Me Ya Usi Rakaat Me Unhiñ Aayat Ko Parh Kar Rukne Qiraat Ada Kiya to Kya Ye Bhi Mufside Salaat He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Zaid Ne Daurane Namaz Umru Se Tilawate Qura'an Suni or Use Chand Aayateñ Yaad Ho Gai Phir Usi Rak'at Me Ya Dusri Rak'at Me Unhiñ Aaytoñ Ki Tilawat Ki to Us Se Namaz Fasid Nahiñ Hogi Kyuñ Ki Zaid Apni Yaad Daasht Se Tilawat Karta He Umru Ki Pervi Karte Huve Nahiñ..

Huzur Sadrushshariyah *📚Bahare Shariyat* Me Farmate Hai,
Namaz Me Mas'haf Shareef Se Dekh Kar Quraan Parhna Mutlaqan Mufside Namaz He, Yuñhi Agar Maherab Wagairah Me Likha Ho Use Dekh Kar Parhna Bhi Mufsid He Haañ Agar Yaad Par Parhta Ho Mas'haf Ya Maherab Par Faqat Nazar He, To Harj Nahiñ..
*📚(J-1, S-3, S-609)*
*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Ziyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khatibo Imam Aala Hazrat Raza Jame'a Masjid, Gomoh Dhanbad, Jarkhand*
*🗓️22 July 2024, 15 Muharramul Haram 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts