*_Dargah Par Dhaga Bandhne Ki Mannat Karna Or Puri Na Hone Par Ye Samajhna Ke Nuqsan Hoga ?_*
*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamu Alaikum,
Mera Mas'ala Ye He Mene Kuchh Saal Pahle Mannat Ki Thi Dargah Me Dhaba Baandhne Ki Lekin Vo Mannat Puri Nahiñ Hui or Ab Vo Mannat Mujhe Bhi Nahiñ Karvani or Me Vahañ Ja Nahiñ Sakti to Uska Kya Tod He Us Mannat Ki Wajah Se Mere Kaam Nahiñ Ban Rahe..
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ye Mannat E Sharai Nahiñ Yaani Agar Usko Pura Nahiñ Kiya to Koi Gunah Nahiñ..
Albatta Ye Khayal Karna Ki Dhaga Bandhne Ki Mannat Maani Thi Our Mannat Puri Nahiñ Ki to Kaam Nahiñ Ho Raha Ye Khayal Jaahilana He.. Allah Ta'ala Chahe to Koi Bhi Aap Ke Kaam Ko Rok Nahiñ Sakta.. Lihaza Dil Ki Tassali Ke Liye Ye Kar Sakti Heñ Ke Jin Buzurgoñ Ke Mazaraat Par Jaakar Dhaga Bandhne Ki Mannat Maani Thi Unke Naam Se Ghar Hi Par Fatiha Khwani Kare Ya Gariboñ Zaroorat Mandoñ Ko Unke Naam Se Madad Kare.. Allah Ta'ala Ne Chaha to Yaqeenan Aap Ke Ruke Hue Kaam Pure Honge..
Khaas Is Bat Ka Khayal Rakkhe Ki Jab Kabhi Mannat Maane to Shariat Me Jis Ki Ijazat He Us Tour Par Mannat Maane Yaani Mera Fulañ Kaam Ho Gaya to Itni Rakaat Nafl Namaz Padhungi Ya Itne Nafl Roze Rakhungi Ya Itna Maal Allah Ki Raah Me Dungi Wagairah...
*📚Bahaar Shariat Hissa 9 Mannat Ke Bayan* Me He,
Masjid Me Charag Jalane Ya Taaq Bharne Ya Fulañ Buzurg Ke Mazar Par Chadar Charhane Ya Gyarhaviñ Ki Niyaz Dilane Ya Gause Aazam Radiallahu Ta'ala Anhu Ka Tosha Ya Shah Abdul Haq Radiallahu Ta'ala Anhu Ka Tosha Karne Ya Hazrat Jalaal Bukhari Ka Kunda Karne Ya Muharram Ki Niyaz Ya Sharbat Ya Sabeel Lagane Ya Milad Shareef Karne Ki Mannat Maani to Ye Sharai Mannat Nahiñ Magar Ye Kaam Mana'a Nahiñ Hai Kare to Achcha He.. Haañ Albatta Iska Khayal Rahe Ki Koi Baat Khilafe Shara'a Uske Sath Na Milaye Maslan Taaq Bharne Me Rat Jaga Hota He (Yaani Raat Bhar Jagte Hai) Jis Me Kunba (Khandan) or Rishta Ki Aurteñ Ikaththa Ho Kar Gaati Bajati Hai Ki Ye Haram He Ya Chadar Charhane Ke Liye Ba'az Log Taashe Baaje Ke Sath Jate Hai Ye Najaaiz He Ya Masjid Me Charag Jalane Me Ba'az Log Aate Ka Charag Jalate Hai Ye Khwah-Ma-khwah Maal Zaaye'a Karna He or Najaaiz He Mitti Ka Charag Kaafi He. Or Ghee Ki Bhi Zaroorat Nahiñ Maqsood Roshni He to Vo Tel Se Haasil He Raha Ye Ki Milad Shareef Me Farsh W Roshni Ka Achcha Intezam Karna or Mithai Taqseem Karna Ya Logoñ Ko Bulawa Dena or Uske Liye Tarikh Muqarrar Karna or Parhne Waaloñ Ka Khush Ilhaani Se Parhna Ye Sab Baateñ Jaaiz Hai, Albatta Galat or Jhuthi Riwayatoñ Ka Parhna Mana'a He Parhne Waale or Sunne Wale Donoñ Gunahgaar Honge..
*📚(Mas'ala-18)*
Mannat Maana Karo to Nek Kaam Namaz, Roza, Khairat, Durood Shareef, Kalma Shareef, Qur'an Majeed Parhne, Faqeeroñ Ko Khana Dene, Kapda Pahanane,, Wagairah Ki Mannat Maano or Apne Yahañ Ke Kisi Sunni Aalim Se Daryaft Bhi Karlo Ki Ye Mannat Thik He Ya Nahiñ, Wahabi Se Na Puchhna Ki Vo Gumrah Be Deen He Vo Saheeh Mas'ala Na Batayega Balki Ich Bich (Yaani Makro Fareb) Se Jaaiz Amr Ko Najaaiz Kah Dega..
*📚(Mas'ala-20)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️2 July 2024, 26 Zulhijjah 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment