Dr. Iqbal Ko Allama Kehna Kesa ? Or Kya Unse Kufriya Alfaaz Sarzad Huve The?

 *Dr. Iqbal Ko Allama Kehna Kesa ? Or Kya Unse Kufriya Alfaaz Sarzad Huve The?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum.shaire Islam Dr Iqbal Ko Allama Ya Rahmatullahi Alaihi K Alfazon Se Nibat Dena Kaisa?or Kya Un Se Qufriyyah Ash'aar Bhi Sarzad Huve Hen?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Shareh Bukhari Hazrat Mufti Shariful Haq Amjadi Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,

Doctor Iqbal Koi Aalim Nahiñ the, Ek Bahut Azeem Shayar or Ek Achche Barrister Leader the Unke Ham Waqtoñ Par Unka Ahsaane Azeem He Tahreek Pakistan Ke Zabardast Haami or Mua'ayyad the Pakistan Banne Me Unki Koshishoñ Ka Bada Dakhl He Unki in Hesiyaat Ko Me Tasleem Karta Huñ Lekin Unse Bhaari Bhaari Galtiyañ Bhi Hui Hai Jin Ko Aap Bhi Galat Maanne Par Majboor Hai Jaise Allah Azzawajal Se Shikwa Likhna Balki Unhoñ Ne Yahañ Tak Zyadati Ki K Allah Ko Harjaai Likha Isme Allah Azzawajal Ki Tauheen He...
 
Phir Chand Sutoor Ke Baad Farmate Hai,
Doctor Iqbal Ne Shikva Me Jo Allah Azzawajal Ki Tauheen Ki He Vo Jawabe Shikwa Se Door Nahiñ Hui Iske Izala Ki Soorat Ye Thi Ki Vo Sarahatan Isse Taubah Karte Kalma Parh Kar Phir Se Musalman Hote Unhoñ Ne Ye Nahiñ Kiya Balki Jawabe Shikwa Me Aulma E Kiram Ke Fatwe Ka Mazaq Udaya or Likh Diya,

Mere Shikwa Ko Agar Samjha to Rizwañ Samjha,
Mujh Ko Jannat Se Nikala Huva Insaañ Samjha..

Tafseel Ke Liye *📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-3, S-494)* Ka Muta'ala Kareñ..

Sarkar Mufti Aazame Hind Farmate Hai,
Shikwa Ke Jawab Me Jawabe Shikwa Likha Usme or Kufriyat Bake Shikwa Se Taubah to Na Ki Nai Nasloñ Ne Doctor Ke Bajaye Allama Kahna Likhna Shuru'a Kar Diya Uski Taubah Jawabe Shikwa Log Kahte Hai, Iski Koi Kitab or Mazmoon Meri Nazar Se Nahiñ Guzra He کیف و قد قیل Ke Lihaz Se Agar Koi Ab Kaffe Lisaan Kare Shikwa or Jawabe Shikwa Ke Kufriyat Ko Kufriyat Jaane to Us Par Koi Muwakhiza Na Hona Chahiye.
*📚(Fatawa Mufti Aazame Hind, J-5)*

Or Fatawa Shareh Bukhari Me He,
Lekin Iqbal Ki Taubah Mash'hoor He, Bahut Se Mustanad Aalimoñ Ne Uski Riwayat Bhi Ki He Is Liye Uske Bare Me Sukoot Kiya Jata He. Phir Na Hi Vo Koi Mazhabi Aadmi Tha or Na Usne Kisi Mazhab Ko Qaaim Kiya, Ek Shayar Tha Jo Dunya Se Chala Gaya...
*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-3, S-491)*

Or Doctor Iqbal Ke Ta'alluq Se Mazeed Tafseel *📚(Fatawa Badrul Aulma, S-126,228)* Par He...

Huzur Tajushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Doctor Iqbal Ko Allama Na Kaheñ لعدم الستحقاق شرعاً
*📚(Fatawa Tajushshariyah, J-2, S-398)*

Lihaza Mazkoora Baatoñ Se Wazeh Huva Ki Unke Kai Ash'aar Kufriya the or Vo Aalim Bhi Nahiñ the Is Liye Unhe Allama Kahna Durust Nahiñ He..

Albatta Fatawa Shareh Bukhari or Fatawa Badrul Aulma Me Unki Aakhir Waqt Me Taubah Mash'hoor Hone Ka Bhi Zikr He Lihaza Unka Zikr Khair Se Hi Kiya Jaye..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️1 July 2024, 24 Zulhijjah 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts