Gusl Ke Douran Reeh (Hawa) Kharij Ho Jaye To Kya Naye Se Gusl Karna Hoga ?

 *Gusl Ke Douran Reeh (Hawa) Kharij Ho Jaye To Kya Naye Se Gusl Karna Hoga ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَّلَامُ عَلَیۡكُمۡ وَ رَحۡمَةُ اللّٰهِ وَ بَرَكَاتُهٗ
Gusl  Ke Faraiz Ada Karne Ke Darmiyan Agar Reeh Kharij Ho Jaye to Gusl Ke Faraiz Fir Se Dobara Ada Karna Padega Kya Hukm Hoga..maslan  Zaid Par Gusl Farz Hai Usne Kulli Ki or Naak Me Pani Chada Liya Tha or Jism Par Pani Bahane Se Pehle Reeh Kharij Ho Gai to Aise Me Kya Faraiz Fir Se Ada Karne Honge

Muhammad Naseem 
Bareilly Shareef

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Gusl Ke Dauran Reeh Kharij Ho Gai to Isse Gusl Dubara Nahiñ Karna Hoga Ki Reeh Kharij Hone Se Wuzu Tutta He Gusl Farz Nahi Hota... Lihaza Agar Gusl Karte Huve Reeh Kharij Hui Ya or Koi Wuzu Todne Wali Cheez Paai Gai to Gusl Naye Sire Se Nahiñ Karna Hoga Gusl Farz Hone Ke Apne Asbaab He, Haañ Ab Tak Jin Aaza E Wuzu Par Paani Bahaya Tha Vo Wuzu Ke Aitbar Se Be Dakhal Ho Gaye Maslan Kulli Kar Chuke the Ya Chehre Par Paani Bah Chuka Tha to Ab Namaz Ke Liye Mukammal Wuzu Dubara Hi Karna Hoga, Gusl Ho Jayega...

Durre Mukhtar Me He,
وشرط صحتہا صدور الطہر من اھلہ فی محلہ مع فقد مانعہ 
Yaani Taharat Durust Hone Ki Shart Ye He Ki Vo Taharat Uske Ahal Se Apni Jagah Par Waqe'a Hui Ho or Koi Maane'a Taharat Cheez Bhi Na Paai Gai Ho.

Is Ibarat Ke Tahat Raddul Muhtaar Me He,
:”(مع فقد مانعہ) بان لایحصل ناقض فی خلال الطہارۃ لغیر معذور بہ“یعنی عبارتِ شرح ''
Yaani Ibarate Sharah "Koi Maane'a Taharat Cheez Bhi Na Paai Gai Ho" Is Tarah Ki Taharat Ke Darmiyan Us Taharat Ko Khatam Karne Wali Koi Cheez Na Paai Gai Ho, Iske Liye He Jo Us Hadas Ke Uzr Me Mubtala Na Ho.
*📚(رد المحتار مع الدر المختار، کتاب الطھارۃ، ج01،ص203،مطبوعہ کوئٹہ)*

Or Sarkar Tajushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Se *16 Dec 2012 Ke Session* Me Is Ta'alluq Se Suwal Hua Ki,
Agar Gusl Karte Waqt Reeh Kharij Ho Gaya Ya Khoon Nikal Aaya to Kya Gusl Ho Jaye Ga?
 Jiske Jawab Me Aap Farmate Hai,
"Gusl Ho Jayega Alabatta Wuzu Ka Aeaada Kare."
Http://jamiaturraza.com/session/16dec12/13.mp3
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad*
*🗓️3 July 2024, 26 Zulhijjah 1445*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare.*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts