*🌹SAWAL:-🌹*
Agar Koi Ladki Apne Khala , Chachi , Phupphi Ke Betoñ Se Namaz Jitna to Pardah Kar Leti Hai Par Chehre Ka Pardah Nahiñ Karti to Gunahgaar Hogi ?
Agarche Uski Hatheliyoñ Tak Hath , Chehra , Aur Takhno Ke Niche Bas Per Dikhte Hain Baqi Jism Dhakti Hai to Uske Liye Kya Hukm Hai ?
Irshad Farma Dijiye
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Hijab Lazim Hai, Lekin Un Me Se Jin Ka Aana Jana Rozana Ka Ma'amul Hai Aur Ghar Wale Digar Afraad Bhi Hote Hen Aur Fitne Ka Gunah Ka Koi Khauf Un Halat Me Nahiñ to Sirf Chehra Hatheli Aur Qadam Khula Rakhne Me Haraj Nahiñ..
Lekin Jin Ka Aana Jana Ma'amulan Na Ho to Un Se Hijab Me Taklif Bhi Nahiñ Hoti Is Liye Ese Logoñ Se Hijab Kare Zyada Behtar Hai..
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Junaid Raza Azhari Sahab Qibla*
*📬Fazile Jame'a Ahzar Misr, Nadiyad Gujarat*
*🗓️15 July 2024, 8 Muharramul Haram 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment