Aurat Ka Deen Ki Tablig Ke Liye Ghar Se Bagair Mahram Bahar Jana Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum 
Hazrat Se Ek Sawal Hai Ki Aaj Kal Female's Deen Ki Tabligh Ke Liye Society - Society Jaa Rahe (Yani Ghar Se Bahar Jaa Rahe) Mahol Dekhte Hue Kya Is Tarah Bagair Mehram Ke Ghar Se Baahar Tabligh Ke Liye Female's Ka Jaana Kaisa? Shariyat Ka Kya Hukm Hai ? 

With Reference Answer Ki Gujarish

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aurtoñ Ko Mutlaqan Ghar Ke Andar Rahne Ka Hukm He, or Bila Zaroorat Ghar Se Bahar Nikalna Mana'a He, Allah Ta'ala Ka Irshad He,
’’وَ قَرْنَ فِیْ بُیُوْتِکُنَّ‘‘
 Or Apne Gharoñ Me Thahri Raho.
*📚(Surah Ahzaab, Aayat-33)*

Haañ Majboori or Zaroorat Ke Ahkaam Alag Hai Lihaza Agar Aurat Ko Koi Zaroori Kaam He to Bahar Ja Sakti He or Deen Ki Tableeg Ke Liye Jana Bhi Zarooriyat Me Se He Ki Agar Aurtoñ Tak Na Pahuncha Jaye to Aurteñ Deen Ke Ahkamaat Se Nawaqif Rah Jati Hai to Agar Muhalle Hi Me Jana Ho to Tanha Bhi Tableeg Ke Liye Ja Sakti He Jabki Gair Mahram Mardoñ Se Milna Julna Na Ho or Shahar Se Bahar Jana He to Bahetar He Ki Kisi Ayse Mard Ka Sath Rahe Jo Use Zaroorat Ke Waqt Kaam Aaye or Uski Hifazat Kar Sake or Agar Safare Sharaee Ke Liye Jana He to Us Par Lazim He Ki Bagair Shohar Ya Mahram Ke Na Nikle.
Wallahu Ta'ala Aa'alam 
*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Ziyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khatibo Imam Aala Hazrat Raza Jame'a Masjid, Gomoh Dhanbad, Jarkhand*
*🗓️26 Aug 2024, 20 Safar Ul Muzaffar 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts