*🌹SAWAL:-🌹*
ٱلسَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ ٱللَّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ
Agar 5:53 Par Fajr Ka Waqt Khatm Ho Raha Hai?
Hamne Fauran 2 Farz Adaa Karli Ek Dum Aakhri Lamhe Mein Ab Waqt Guzar Chuka 5:53 Se Makrooh Waqt Shuru Hogaya Toh Kya Is Surat Me Jo 2 Sunnat Tark Karde Ya Kya Kare Rehnumai Farmaye ?
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jab Waqt Tang Ho Our Tulu'a Hone Me Sirf Itna Hi Waqt Bacha Ho Ke Do Rak'at Padh Sake to Aysi Surat Me Sunnat Ko Chhod De Our Do Rak'at Farz Ada Kare. Fir Tulu'a Aaftab Ke 20 Minut Bad, Zawal Se Pehle Pehle Tak Sunnt E Fajr Padhna Chahe to Padh Sakta He..
Jesa Ke Bahar Shariyat Me He,
Fajar Ki Sunnat Qaza Ho Gai or Farz Padh Liye to Ab Sunnatoñ Ki Qaza Nahiñ Albatta Imam Muhammad Rahimahullahi Ta'ala Farmate Hai Ki Tulue Aaftab Ke Baad Padhle to Bahetar He.
Or Tulu'a Se Peshtar (Yaani Sooraj Nikalne Se Pahle) Bil Ittifaq Mamnoo'a He.
Aaj Kal Aksar Awam Baad Farz Fauran Padh Liya Karte Hai Ye Najaaiz He, Parhna Ho to Aaftab Baland Hone Ke Baad Zawal Se Pahle Padhe.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Sunano Nawafil Ka Bayan, Mas'ala-10)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️1 Aug 2024, 25 Muharramul Haram 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment