Aurtoñ Par Parda Kitni Umr Me Wajib Hota He Or Farz Kitni Umr Me ? Muslim Ladki Ko Parda Kabse Karna Chahiye?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اسلامُ علیکم ورحمۃاللہ وبرکاتہ 
Aurton Par Pardah Kitni Umar Me Wajib Hota Hai ? Aur Farz Kitni Umar Me Hota ? 

Baz Log Kehte Hai 10 Sal Aur Kuchh 13 Sal 

Jawab Inayat Farma Dijiye 

Jazakallahu Khairan Kaseera

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ladki Jab 15 Saal Ki Ho Jaye to Use Sab Gair Mahaarim Se Parda Karna Wajib He or 9 Saal Se 15 Saal Tak Agar Aasare Buloog Yaani Balig Hone Ki Alamat Jaise Haiz Aana Ya Ehtelam Hona Ya Hamal Hona Zahir Hoñ, to Phir Bhi Parda Wajib He, or Agar Aasare Buloog Zahir Na Hoñ to Parda Wajib to Nahiñ He Albatta Mustahab Zaroor He, Khusoosan 12 Saal Ki Ho, to Sakht Takeed He Ki Ye Baaliga Hone or Shahwat Ke Kamal Tak Pahunchne Ka Qareebi Zamana He. 9 Saal Se Kam Umr Ki Ladki Ke Liye Agarche Parde Ka Istehbaabi Hukm Bhi Nahiñ Magar Bachchi Ki Aadat Banane Ke Liye Use Parde Ke Ahkaam W Aadab Pahle Se Hi Sikhana W Shoq Dilana Chahiye, Taaki Jab Pada Karne Ki Umar Ko Pahunche to Bila Jhijak Kar Sake..

Hadeese Paak Me He,
عن عائشۃ، أن النبی صلی اللہ علیہ وسلم قال یا أسماء إن المرأۃ إذا بلغت المحیض لم یصلح أن یری منھا إلا ھذا وھذا، وأشار إلی کفہ ووجھہ“ت
Hazrat Aaisha Radiallahu Anha Se Marwi He Ki Nabi E Kareem ﷺ Ne Farmaya: Ay Asma ! Jab Aurat Baliga Ho Jaye to Uske Liye Durust Nahiñ Ki Vo Apne Chahere or Hatheliyoñ Ke Siwa Kisi Hisse Ko Zahir Kare.
*📚(السنن الصغیر للبیھقی ،کتاب النکاح ،باب النظر إلی امرأۃ ،جلد3، صفحہ12، الدراسات الإسلامیۃ، کراچی)*

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Nav (9) Baras Se Kam Ki Ladki Ko Parda Ki Hajat Nahiñ or Jab 15 Baras Ki Ho Sab Gair Mahaarim Se Parda Wajib or 9 Se 15 Tak Agar Aasare Buloog Zahir Hoñ to (Bhi Parda) Wajib, or Na Zahir Hoñ to Mustahab Khusoosan 12 Baras Ke Baad Bahut Muakkad Ki Ye Zamana Qurbe Buloog W Kamaale Ishtiha Ka He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-23, S-639, Mas'ala-301)*

Or Hazrat Allama Abdul Mustafa Aazmi Alaihir Rahma Farmate Hai,
Jab Vo (Ladki) 7 Baras Ki Ho Jaye to Usko Namaz Wagairah Zarooriyate Deen Ki Baateñ Taleem Kareñ or Parda Me Rahne Ki Aadat Sikhayeñ.
*📚(Jannati Zewar, S-28)*

Or Ladki Ke Balig Hone Ke Bare Me Farmate Hai,
Ladki Kam Se Kam 9 Baras Kaamil or Zyada Se Zyada 15 Saal Kaamil Ki Umr Me Baliga Hoti He. Is Bich Me Aasare Buloog Paida Hoñ to Baliga He Warna Nahiñ. Aasare Buloog 3 Hai, Haiz Aana Ya Ehtelaam Hona Ya Hamal Rah Jana, Baaqi Bagal Me Ya Zere Naaf Baal Jamna Ya Pistan Ka Ubhaar Muatabar Nahiñ
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-11, S-687, Mas'ala-427)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab 
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad*
*🗓️22 Sep 2024, 18 Rabi Ul Awwal 1446*
📲+918
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare.*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?

 *Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum Wa Rahmatull...

Popular Posts