Makka Madina Ya Digar Muqaddas Maqamat Ki Tasweer Wale Musalle (Janamaz) Par Namaz Padhna Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum, Kaba Shareef, Madina Shareef Ya Digar Muqaddas Maqamat Ki Tasweer Wale Musalle Par Namaz Padhna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Is Tarah Ke Kaba Sharif, madina Sharif Wagairah Ke Naqsh Wale Musalle Par Namaz Nahiñ Padhna Chahiye, Mana'a He Ke Is Me Be Adabi Ke Bahut Zyadah Andesha He. Kabhi Be Khayali Me Us Par Ghutne Ya Qadam Pad Jate He Our Ye Be Adabi He.. lihaza Aysi Ja Namaz Se Parhez Kare..

Jaisa Ki Sarkar Tajushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Ek Sawal Ke Jawab Me Taherir Farmate Hai,
Ulte Se Ye Murad He Ki Janamaz Ka Vo Hissa Jis Par Sajda Karte Hai, Vo Pairo Ke Niche Rakha Ho to Ye Bahut Mazmoom He Jabki Danista Ho, Khusoosan Isme Ka'aba Muazzama Ya Madina Munawwara Ka Naqsh Ho to Sakht Be Adbi He Balki Aysi Janamazoñ Ka Istemal Mutlaqan Be Adbi Se Khali Nahiñ.
*📚(Fatawa Tajushshariyah, J-3, S-234)*

Or Bahrul Uloom Hazrat Allama Abdul Mannan Aazmi Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Maqaamate Muqaddasa Ke Naqshe Kagaz Par Tugra Ki Soorat Me Banaye Jate Hai Taaki Ghar Me Diwaroñ Par Aawezañ Kiye Jayeñ Jinse Barkat Ke Sath Zeenat Bhi Hasil Ho Kt Naqshe Agar Yuñhi Zameen Par Daal Diye Jayeñ to Log Isko Tauheen Tasawwur Karte Hai Unko Rondana Ya Un Par Bethna to Door Ki Baat He. Pas Awlan Hamare Nazdeek Ayse Musalle Istemal Hi Na Karna Chahiye Jin Par Is Qism Ke Muqaddas Shabiheñ Bani Hoñ. 

Or Basa Awqaat Iska Mushahida Bhi Hota He Ki Log Musalla Par Be Khayali Me Beth Gaye to Khas Shabiya Par Beth Gaye Wahi Musalla Mimbar Par Bichha Diya Jata He Us Waqt Bhi Yahi Nagawar Soorat Pesh Aati He, Muqarriroñ Ki Taqreer Ki Kursi Par Log Bichha Dete Hai, Ye Soorteñ Be Adbi Ki Hai or Kahiñ Log Ayse Ba Adab or Saleeqa Mand Hoñ Ki Musalle Ko Is Qism Ki Bad Khayali or Be Adabi Se Bachayeñ Sirf Namaz Ke Liye Bichhayeñ Phir Utha Kar Kisi Baland Jagah Rakheñ to Bhi Vo Musalla Rakheñ Jiske Nisf Balaai Hissa Par Aysi Shabiheñ Bani Hoñ Jin Musalloñ Par Pure Hissa Par Ye Shabiheñ Bani Hoñ Un Par Paanw Rakhne Ya Pusht Lagane Se Parhez Kiya Jaye.
*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-1, S-157)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️21 Sep 2024, 17 Rabi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts