*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
2 Bahene Hai Paheli Bahen Ka Koi Mehram Nahi Hai to Kiya Vo Dusri Bahen Ki Beti Aur Shohar Ke Sath Umrah Per Jaa Sakti He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kisi Bhi Aurat Ko Bagair Mahram Mard Ke Sharaee Masaafat Yaani 92 Kilometre Ya Usse Zaaid Ka Safar Karna Haram He, Khwah Vo Safar Hajj Ya Umrah Ki Garz Se Ho Ya Kisi or Maqsad Ke Liye Ho..
Lihaza Puchhi Gai Soorat Me Ladki Ki Bahan Ka Shohar Yaani Bahnoi (Jija) Us Ladki Ke Liye Gair Mahram He, Ladki Ka Bagair Kisi Apne Mahram Mard Ke Apni Bahan or Bahan Ke Shohar W Beti Ke Sath Bhi Safare Umrah Par Jana Na Jaaiz W Haram Hoga.. Lihaza Jab Tak Mahram Ka Sath Na Ho Umrah Na Kare. Mahram Har Vo Shakhs He Jiske Sath Ladki Ka Nikah Hamesha Ke Liye Haram He. Jaise Maamuñ, Chacha Wagairah, Neez Bhatija or Bhanja Wagairah Bhi Mahram Hote Hai Jinke Sath Aurteñ Safar Kar Sakti He Jabki Vo Kam Az Kam Qareebe Buloog or Hifazat Par Qadir Hoñ. Agar Koi Bhi Mahram Na Ho to Allah Ki Raza Ke Liye Ghar Hi Me Rahe, Bagair Mahram Mard Ke Kisi Group Ya Family Ke Sath Bhi Jane Ki Ijazat Nahiñ Agar Jayegi to Gunahgar Hogi Har Qadam Par Gunah Likha Jayega..
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Se Suwal Hua Ki Apni Haqeeqi Hamshira (Bahan) Ke Shohar Se Aurat Ko Parda Karna Farz He Ya Nahiñ ? Jiske Jawab Me Aap Farmate Hai,
Bahnoi Ka Hukm Shara'a Me Bilkul Misle Hukme Ajnabi He Balki Usse Bhi Zaaid Ki Vo Jis Be Takallufi Se Aamado Raft, Nashisto Barkhast Kar Sakta He Gair Shakhs Ki Itni Himmat Nahiñ Ho Sakti Lihaza Saheeh Hadees Me He,
Sahaba E Kiram Ne Arz Ki Ya Rasoolallah ﷺ! Jeth, Dewar, or Unke Misl Rishtedaaran Ka Kya Hukm He. Farmaya: Ye to Mout He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, S-237, Mas'ala-94)*
Or Usi Me He,
Rasoolallah ﷺ Farmate Hai,
لا یحل لا مرأۃ تؤمن باﷲ والیوم الاٰخر ان تسافر مسیرۃ یوم ولیلۃ الامع ذی رحم محرم یقوم علیھا
*📚(صحیح بخاری باب فی کم یقصر الصلوٰۃ وسمہ النبی صلی اﷲ تعالیٰ علیہ وسلم یوماً ولیلۃ قدیمی کتب خانہ کراچی ١/٤٨ ۔١٤٧،صحیح مسلم باب سفر المرأۃ مع محرم الی حج وغیرہ قدیمی کتب خانہ کراچی ١/٣٤۔ ٤٣٣،سنن ابوداؤد کتاب المناسک باب المرأۃ تحج بغیر محرم آفتاب عالم پریس لاہور ١/٢٤١،الترغیب والترھیب ترھیب المرأۃ ان تسافرا لخ مصطفی البابی مصر ٤/٧٢)*
Halaal Nahiñ Us Aurat Ko Jo Allah or Aakhirat Ke Din Par Imaan Rakhti He Ki Ek Din or Raat Ka Safar Kare Magar Mahram Ke Sath Jo Uski Hifazat Kare.
Usi Me Aage Farmate Hai,
Haj Ka Jaana Sawab Ke Liye He, or Be Mahram Jaane Me Sawab Ke Badle Har Qadam Par Gunah Likha Jayega. (Mazeed Jiska Shohar Ya Koi Mahram Na Ho or Vo Haj Par Jana Chahe To Nikah Karke Jane Ke Ta'alluq Se Tafseel Isi Jawab Me Maujud He.)
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-10, S-704, Mas'ala-303)*
Or Farmate Hai,
Aurat Ke Sath Jab Tak Shohar Ya Mahram Balig Qabile Itminaan Na Ho Jis Se Nikah Hamesha Ko Haram He Safar Haram He, Agar Karegi Haj Ho Jayega Magar Har Qadam Par Gunah Likha Jayega...
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-10, S-726, Raza Foundation, Lahor)*
Lihaza Aurat Ke Liye Bahnoi Uska Mahram Nahiñ, Or Bagair Mahram Ke 92 Km Ya Usse Zaaid Safar Karna Khwah Haj Ya Umrah Ke Liye Jana Bhi Jaaiz Nahiñ, Balki Har Qadam Par Gunah..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujarat*
*🗓️17 Oct 2024, 13 Rabi Us Saani 1446*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment