*Shadi Ke Baad Ladki Ke Maañ Baap Ne Ladki Par Jo Bataure Ilaj Kharch Kiya Usko Shohar Se Ladki Ke Inteqal Ke Baad Wapas Lena Ya Jahez Wagairah Ka Hukm*
*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Hazrat Sawal Ye He Ki Hamari Ladki Ki Shadi Ki Thi Mahar 5 Lakh Baandha Gaya Tha Asl Me Ladke Walo Ki Taraf Se Bahut Saari Farmaish Thi Is Liye Mahar Bhi Zyada Bandha Gaya Ab Us Ladki Ka Inteqal Ho Gaya Asl Me Unke Susraal Walo Ne Ilaaj Nahi Karaya Ham Logo Ne Taqriban 6 Lakh Rupya Shadi Karne Ke Baad Bhi Ilaaj Me Lagaya to Ab Ham Apna Jo Jahez Diya Usko or Jo Maal Zewar Wagairah Diya Tha Uska Kya Kare Hamne Apna Jitna Paisa Kharch Kiya Usko Wapas Le Sakte Hai ?
Or Jo Mahar Bandha Uska Kya Kareñ Mukammal Hawale Ke Sath Rahnumai Farmaye.. Jazakallah Khair
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ladki Ke Ghar Waloñ Ne Uske Maañ Baap Ne Ladki Ke Ilaaj Ke Liye Jo Kharch Kiya Vo Ladki Ke Maañ Baap Ki Taraf Se Tabarroa He Yaani Ek Achchha or Nek Kaam Lekin Jo Unhoñ Ne Kharch Kiya Vo Ladki Ko Diye Huve Jahez Ya Uski Mahar Ya Uske Shohar Se Wasul Nahiñ Kar Sakte, or Na Shohar Par Uska Dena Laazim W Zaroori He,aur Ladki Ke Ghar Waloñ Ne Shadi Ke Waqt Jo Jahez Ka Saman or Zaweraat Wagairah Jo Kuchh Bhi Ladki Ko Diya Tha Un Tamam Cheezoñ Ki Maalik Ladki He.. Ab Chuñki Ladki Ka Inteqal Ho Chuka He to Ladki Ka Sara Jahez or Shohar Ke Zimma Jo Mahar He Un Tamaam Ko Mila Kar Ab Marhuma Ladki Ke Tarka Me Taqseem Kiya Jayega. Yaani Ladki Ke Inteqal Ke Baad Ladki Ke Jo Zaweraat He Ladki Ka Jo Samane Jahez He, Ladki Ka Jo Mahar 5 Lakh Rupye Bandha Gaya Tha Vo Bhi Shohar Se Wasool Karke in Tamam Cheezoñ Ko Mila Kar Ab Bataure Tarka Sharaee Hissoñ Ke Mutabiq Har Waris Ko Milega... Ab Rahi Ye Baat Ki Kis Waris Ko Kitna Milega Shohar Ko Kitne Milega, Ladki Ke Maañ Baapko Kitna Milega, Bhai Bahnoñ Ko Kitna Milega or Agar Awlad Ho to Usko Kitna Milega to Fir Uske Liye Aap Tafseel Se Suwal Likh Kar Jawab Hasil Kare...
Jaisa Ki Imame Ahle Sunnat Shah Imam Ahmad Raza Khan Rahematullah Alaihi Farmate Hai,
Jo Kuchh Zewar, Kapda, Bartan Wagairah Aurat Ko Jahez Me Mila Tha, Uski Maalik Khas Aurat He.
*📚(Fatawa Razviya, J-12, S-256, Raza Foundation Lahor)*
Ek or Maqam Par Farmate Hai,
Jahez Hamare Balaad Ke Urfe Aam Shaye'a Se Khas Milke Zauja Hota He, Jisme Shohar Ka Kuchh Haq Nahiñ, Talaq Hui to Kul Le Gai, or Mar Gai to Usi Ke Warsa Par Taqseem Hoga.
Durre Mukhtar Me He,
کل احد یعلم ان الجھاز للمرأۃ وانہ اذاطلقھا تاخذہ کلہ واذا ماتت یورث عنھا
Yaani Har Shakhs Janta He Ki Jahez Aurat Ki Milkiyat Hota He, Jab Shohar Usko Talaq Dede, to Vo Tamam Jahez Lelegi or Jab Aurat Mar Jaye, to Usme Wirasat Jaari Hogi.
*📚(Fatawa Razviya, J-12, S-203, Raza Foundation Lahor)*
Or Sharah Fat'hul Qadeer Me He,
قال: (وإذا مات الزوجان وقد سمى لها مهرا فلورثتها أن يأخذوا ذلك من ميراث الزوج، وإن لم يكن سمى له مهرًا فلا شيء لورثتها عند أبي حنيفة. وقالا: لورثتها المهر في الوجهين) معناه المسمى في الوجه الأول ومهر المثل في الوجه الثاني، أما الأول؛ فلأن المسمى دين في ذمته وقد تأكد بالموت فيقضى من تركته، إلا إذا علم أنها ماتت أولا فيسقط نصيبه من ذلك. وأما الثاني فوجه قولهما أن مهر المثل صار دينا في ذمته كالمسمى فلا يسقط بالموت كما إذا مات أحدهما. ولأبي حنيفة أن موتهما يدل على انقراض أقرانهما فبمهر من يقدر القاضي مهر المثل.
(قوله: على ما نبينه) يعني في المسألة التي تليها من غير فصل، وهي ما إذا مات الزوجان وقد سمى لها مهرا ثبت ذلك بالبينة أو بتصادق الورثة فلورثتها أن يأخذوا ذلك من ميراث الزوج، هذا إذا علم أن الزوج مات أولا أو علم أنهما ماتا معا أو لم تعلم الأولية؛ لأن المهر كان معلوم الثبوت، فلما لم يتيقن بسقوط شيء منه بموت المرأة أولا لا يسقط، وأما إذا علم أنها ماتت أولا فيسقط منه نصيب الزوج؛ لأنه ورث دينا على نفسه.‘‘
*📚(Fat'hul Qadeer, J-3, 359)*
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️16 Oct 2024, 12 Rabi Us Saani 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment