Ehram Me Aurat Ka Sar Par Cap Ya Topa Laga Kar Parda Latkana Jisse Chahere Mo Mas Na Kare Kya Ye Jaaiz He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Hajj Ya Umrah Me Kuchh Aurte  🧢👈🏻 Aesa Wala Cap Laga Kar Upr Se Ek Dupatta Daal Leti Hain Jis Se Chehra Dhak Jata Hai Lekin Kapra Chehre Pe Nahiñ Lagta 
Kya Aesa Karna Jaiz Hoga?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Haañ Jaaiz Hai..
Fatawa Razviya Shareef Me He,
Ahram Me Muñh Chhupana Aurat Ko Bhi Haram He, Namahram Ke Aage Koi Pankha Wagairah Muñh Se Bacha Huva Samne Rakhe.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-10, S-735)*
*📚(Bahare Shariyat, H-6, Ahram Ke Ahkam)*

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Se Ek Suwal Hua Ki Aurteñ Muñh Par Pankha Khajur Ka Laga Leti Hai Yaqeenan Vo Pankha Kan Patti or Naak or Muñh Se Lagta He or Chahera Poshida Bhi Rahta He Ehraam Ki Halat Me Kya Karna Chahiye Namaz Ke Waqt Jab Ki Parda Ki Jagah Na Ho Pankha Uncha Utha Ho Mushkil Se Rukega, Alawañ Azeeñ Chahera Na Mahramo Ki Nazar Se Makhfi Rakhna Dushwar He Jis Ke Jawab Me  Aap Tahreer Farmate Hai,

Pankha Sar Par Mazboot Bandheñ Ki Utha Rahe or Bada Ho Ki Utha Rahne Ki Aadat Me Chahera Ajaanib Se Chhupa Rahe Phir Bhi Agar Ahyaanan (Bhule se) Chahera Par Dhalak Aaye Ya Kan Patti Ya Naak Ya Muñh Se Lage Agar Muñh Ki Tikli Ke Chaharum Tak Na Pahunche to Kaffara Kuchh Nahiñ, Na Qurbani Na Sadqa Ki Na Chaharum Muñh Chhupaya Na Char Pahar Tak Use Dawaam Raha, Is Soorat Me Karahat W Moasiyat Hoti Magar Jabki Vo Bila Qasd He or Use Qaaim Rakha Gaya to Muwakhiza Nahiñ, Haañ Agar Chaharum Muñh Ki Tikli Chhup Jayegi to Zaroor Sadqa Dena Aayega.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-10, S-715, Mas'ala-313)*

In Ibaraat Se Wazeh He Ki Agar Aurat Chahe to Apne Muñh Ke Samne Aysa Parda Kare Ki Jisse Namahram Ki Nazar Uske Chahere Par Na Pade Uska Koi Bhi Tareeqa Ho Sakta He, Misaal Ke Par Jo Fatawa Razviya or Bahare Shariyat Me Bhi He Ki Vo Muñh Ke Samne Pankha Karle.. Algaraz Karna Is Tarah Se Ki Vo Kapda Muñh Ko Na Chhuye to Agar Koi Aurat Aysa Topa Pahanti He Ki Jiski Bina Par Uske Aage Wale Hisse Par Parda Latka Kar Uska Kapda Door Rahe or Chahere Ko Mas Na Kare to Jaaiz He, Koi Harj Nahiñ..
Wallahu Ta'ala Aa'alam 
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️22 Sep 2024, 18 Rabi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?

 *Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum Wa Rahmatull...

Popular Posts