"Nabi Sahab" "Muhammad Sahab" Ya "Rasool Sahab" Wagairah Alfaaz Huzur ﷺ Ke Liye Istemaal Karna Kesa?

 *Huzur ﷺ Ke Liye Lafz "Sahab" Istemaal Karna Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum..surah Nazm Ki Ibtida Me Aap Alaihissalam K Bare Me Lafze Sahab Fermaye Gaya.. ab Devbandi Jamati Furqe K Log Huzure Paak Alaihissalam Ki Shaan Aqdas Me Yu Kehte He K Nabi Sahab.khas Ker Me Jaha Rehata Hu Us Jagah Ye Lafz Wahabi Log Akser Bolte He or Inhe Jab Is Fael Roka Jat He to Wo Surah Nazm Dalil Dete He K Quraan Me Bhi to Aa Alaihissalam K Talluq Se Ye Lafz Aaya He.
Ulmaye Zamil Ahteram Se Gujarish K Kya Huzure Paak Ki Shan Me Aise Afz Istemal Kerna Zaij He?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Huzur ﷺ Ke Liye Lafz Sahab Jaise "Muhammad Sahab" Ya "Rasool Sahab" Ya "Paigambar Sahab" Jaise Alfaaz Istemaal Karne Se Ehteraz Chahiye, Is Liye Ki Huzur ﷺ Par Lafz Sahab Ka Istemaal Ye Aaryoñ or Padariyoñ Ka Shuaar He Vo Use Is Mubtazeel (Haqeer Ya Mamooli) Ta'azeem Me Laate Hai Jo Zaid W Umar Ke Liye Raaij He..

Quraan Majeed Me Rab Tabarak Wa Ta'ala Irshad Farmata He,
لَا تَجْعَلُوْا دُعَآءَ الرَّسُوْلِ بَیْنَكُمْ كَدُعَآءِ بَعْضِكُمْ بَعْضًاؕ
(Ay Logo !) Rasool Ke Pukarne Ko Aapas Me Aysa Na Thahra Lo Jaisa Tum Me  Ek Dusre Ko Pukarta He..
*📚(Surah Noor, Aayat-63)*

Isi Ta'alluq Se Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Huzur ﷺ Par Itlaaqe "Sahab" Khud Qura'an Kareem Me Warid,
وَالنَّجْمِ اِذَا ہَوٰی ۙ﴿۱﴾ مَا ضَلَّ صَاحِبُکُمْ وَمَا غَوٰی ۚ﴿۲﴾"
Us Pyare Chamakte Taare Muhammad Ki Qasam Jab Ye Meraaj Se Utre, Tumhare Sahab Na Bahke Na Be Raah Chale.
*📚(Surah Najm, Aayat-2)*

Magar Naame Aqdas Ke Sath Is Taur Par Lafz Sahab Ka Milana Ye Aaryoñ or Padariyoñ Ka Shuaar He Vo Ise Is Mubtazeele Ta'azeem Me Laate Hai Jo Zaid Wa Umar Ke Kiye Raaij He. Ke Shaikh Sahab Mirza Sahab Paadri Sahab Pandit Sahab Lihaza Is Se Ehteraz Chahiye. Haañ Yuñ Kaha Jaye Ki Huzur ﷺ Hamare Sahab Hai, Aaqa Hai, Malik Hai, Maula He..
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-14, S-618, Mas'ala-244)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad*
*🗓️2 Oct 2024, 28 Rabi Ul Awwal 1446*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare.*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts