Gair Mazhab Wale Hame Kahe Ki "Bhagwan Ki Daya He, Ya Bhagwan Ki Krupa He" To Kya Jawab De ? Or Unke Tyohar Ki Mubarak Baad Dena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ek Shakhs Ka Gair Mazhab Waaloñ Se Tijarati W Dunyavi Naata Rishta He to Vo Insan Agar Ise Jay Bhagwan Ya Aysa Kuchh Bole to Ye Banda Jawab Kya Dega ?

Or Agar Samne Wala Ye Bole Ki Bhagwan Ki Daya He Bhagwan Ki Krupa He to Is Bande Ke Liye Kya Hukm He Ki Apne Zahan Me Us Baat Ke Liye Kya Soche ?

Or Hindu Logo Ke Tahevar Me Vo Log Samne Se Mubarak Baad Pesh Karte He to Unko Jawab Dena Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ek Musalman Ka Gair Mazhab Yaani Ki Hunoodo Mushrikeen Ke Sath Tijarati or Dunyavi Ta'alluq He or Vo Shakhs Agar Musalman Ko Vo Alfaz Kahe Jo Sawal Me Mazkoor He to Musalman Hargiz Uska Jawab Na De. Balki Awwalan Use Aysa Kahne Se Hi Rok De, Ki Vo Is Qism Ke Alfaaz Hi Na Kahe.. Or Agar Vo Kahta He to Apne Dil Se Use Sakht Bura Jaane or Zaban Se Assamu Alayk Kahe "Assam" Ka Ma'ana Hota He Mout or Halaak, "Assamu Alayk" Ye Keh De.. 

Or Isi Tarah Hunoodo Mushrikeen Apne Tahewar Ki Mubarak Baad Pesh Karte Hai , Chahe Unka Qaumi Tahevar Ho Ya Unka Mazhabi Tyohar Us Tahevar Ki Mubarak Baad Jo Pesh Karte He Musalman Hargiz Uska Jawab Na De, Agar Dil Se Unki Mubarak Baad Ko Qubool Karega to Ye Munjir Ilal Kufr Hoga, Warna Kam Se Kam Haram to Zaroor.. Is Liye Musalman Hargiz Unki Mubarak Baad Ko Qubool Na Kare or Na Apni Taraf Se Koi Jawab De.
Wallahu Ta'ala Aa'alam 
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Baani Sadrushshariyah Academy W Sadrul Mudarriseen W Mufti Darul Uloom Anware Madina Khambhaliya, Gujarat*
*🗓️25 Aug 2024, 19 Safar 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*_Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare_*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?

 *Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum Wa Rahmatull...

Popular Posts