Musalman Ka Parvez Naam Rakhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُه‎
Parvez Naam Rakhna Kaisa ?

Rehnumai Farmaye!

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Parvez Us Irani Badshah Ka Naam He Jisne Huzur ﷺ Ke Dawati Khat Ko Phar Diya Tha Is Liye Sahaba E Kiram, Tabe'in or A'imma Ne Ye Naam Rakhne Se Gurez Kiya, Is Liye Ki Jo Shakhs Is Naam Se Mash'hoor He Uska Amal Gustakhi E Rasool ﷺ Ke Zumre Me Aata He Is Liye Ye Naam Nahiñ Rakhna Chahiye.. Bilkul Ayse Hi Jese Firon, Yazeed, Simar Wagairah...

Shaikhul Hadees Hazrat Allama Abdul Mustafa Aazmi Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,

6 Hijri Me Sulah Hudebiya Ke Baad Jab Jango Jidaal Ke Khatraat Tal Gaye or Har Taraf Aman W Sukoon Ki Faza Paida Ho Gai Chuñki Rasoolallah ﷺ Ki Nabuwwat W Risalat Ka Dairah Sirf Khitta E Arab Hi Tak Mahdood Nahiñ Tha Balki Aap ﷺ Ne Irada Farmaya Ki Islam Ka Paigam Tamam Dunya Me Pahuncha Diya Jaye. Chunanche Aap ﷺ Ne Rom Ke Badshah "Qaisar" Faras Ke Badshah "Kusra" Habsa Ke Badshah "Najjasi" Misr Ke Badshah "Azeez" or Dusre Salaatine Arabo Ajam Ke Naam Dawate Islam Ke Khutoot Rawana Farmaye..

Huzur ﷺ Ne Jab Dawate Islam Ke Khutoot Badshahoñ Ke Paas Bheje or Jab Shahanshahe Iran *Khusro Parvez* Ke Darbar Me Jab Naama E Mubarak Pahuncha to Sirf Itni Si Baat Par Uske Guroor or Ghamand Ka Para Itna Chad Gaya Ki Usne Kaha Ki Is Khat Me Muhammad (ﷺ) Ne Mere Naam Se Pahle Apna Naam Kyuñ Likha ? Ye Kah Kar Usne Farmane Risalat Ko Phad Dala or Purze Purze Karke Khat Ko Zameen Par Phenk Diya. Jab Huzur ﷺ Ko Ye Khabar Mili to Aap Ne Farmaya Ki,
مَزَّقَ كِتَابِيْ مَزَّقَ اللّٰهُ مُلْكَهٗ
Usne Mere Khat Ko Tukde Tukde Kar Dala Khuda Uski Saltanat Ko Tukde Tukde Karde. 

Chunanche Uske Baad Hi Khusro Parvez Ko Uske Bete "Shiroya" Ne Raat Me Sote Huve Uska Shikam Phad Kar Usko Qatal Kar Diya. Or Uski Badshahi Tukde Tukde Ho Gai Yahañ Tak Ke Hazrat Ameerul Mu'amineen Umar Farooqe Aazam Radiallahu Anhu Ke Daure Khilafat Me Ye Hukumat Safhe Hasti Se Mit Gai.
*📚(Madarijun Nabuwwah, J-2, S-225 Wagairah, Bukhari, J-1, S-411)*
*📚(Seerate Mustafa, S-370,371)*

Or Sarkar Tajushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Se Parvez Naam Rakhne Ke Ta'alluq Se Sawal Hua to Aap Farmate Hai,
Parvez Naam Rakhna Achcha Nahiñ He, Is Liye Ki Parvez Us Shakhs Ka Naam Tha Jisne Nama E Mubarak Huzur ﷺ Ka Chak Kiya Is Liye Parvez Naam Rakhna or Yuñ Hi Firoz Naam Rakhna Achha Nahiñ He, Kyuñ Ki Firoz Ye Majoosi Gulam Tha Jisne Hazrate Umar Ko Shaheed Kiya.. Parvez Ki Bajaye Koi or Naam Rakhle..
Http://jamiaturraza.com/session/4dec11/11.mp3

Or Farmate Hai,
(Agar Kisi Ka Naam Parvez Ho to) Ye Naam Badal Dena Chahiye, Parvez Vo Badnasib Gustakh Shakhs Tha Jisne Naame Mubarak Ko Chaak Kiya Tha.
Http://jamiaturraza.com/session/28nov10/8.mp3

Lihaza Parvez Naam Nahiñ Rakhna Chahiye..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad*
*🗓️24 Aug 2024, 18 Safar 1446*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare.*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?

 *Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum Wa Rahmatull...

Popular Posts