Konsa Libaas Pahanna Sunnat He ? Safed ? Zard Ya Siyah Ya Dusra Koi ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُه‎
Konsa Libas Pehanna Sunnat Hai?
(Safed Ya Zard Ya Siyah Rang Ka Kurta Pajama Pahnane Se Sunnat Ka Sawab Milega?)

Jawab Inayat Farmaye!!!

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Safed Libas Pahenna Behter He.. Hadees Sharif Me Is Ke Ta'alluq Se Fazilat Aai He..

Bahare Shariyat Me He,
Imam Ahmad W Tirmizi Wa Nasaai W Ibne Maja Ne Samrah Radiallahu Anhu Se Riwayat Ki, Ke Nabi E Kareem ﷺ Ne Farmaya: Supaid (White) Kapde Pahno Ki Vo Zyada Paak or Suthre Hai or Unhiñ Me Apne Murde Kafnaao.
*📚(’’ المسند ‘‘  للإمام أحمد بن حنبل، مسند البصریین،حدیث سمرۃ بن جندب،الحدیث: ۲۰۱۷۴ ،ج ۷ ،ص ۲۶۰۔)*  

Ibne Maja Ne Abu Dawood Radiallahu Anhu Se Riwayat Ki, Ki Rasoolallah ﷺ Ne Farmaya: Sab Me Achche Vo Kapde Jinheñ Pahan Kar Tum Khuda Ki Ziyarat Qabroñ or Masjidoñ Me Karo, Supaid Hai Yaani Supaid Kapdoñ Me Namaz Padhna or Murde Kafnana Achha He.
*📚(’’ سنن ابن ماجہ ‘‘ ،کتاب اللباس، باب البیاض من الثیاب،الحدیث: ۳۵۶۸ ،ج ۴ ،ص ۱۴۶۔)*
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Libaas Ka Bayan, Hadees-14,15)*

Or Farmate Hai,
Bahetar Ye He Ki Uni Ya Suti Ya Kataan Ke Kapde Banwaye Jayeñ Jo Sunnat Ke Mawafiq Hoñ, Na Nihayat Aala Darja Ke Hoñ Na Bahut Ghatiya Balki Mutawassit (Darmiyani) Qism Ke Hoñ, Ki Jis Tarah Bahut Aala Kapdoñ Se Numood (Numaaish) Hoti He, Bahut Ghatiya Kapde Pahanne Se Bhi Numaish Hoti He, Logoñ Ki Nazreñ Uthti Hai Samajhte Hai Ki Ye Koi Saahibe Kamal or Tarike Dunya Shakhs Hai. Sufaid Kapde Pahanna Bahetar Hai Ki Hadees Me Uski Tareef Aai He or Siyah Kapde Bhi Bahetar Hai Ki Rasoolallah ﷺ Fatah Makka Ke Din Jab Makka Muazzama Me Tashreef Laaye to Sare Aqdas Par Siyah Amama Tha. Sabz Kapdoñ Ko Baaz Kitaboñ Me Sunnat Likha He.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Libaas Ka Bayan, Mas'ala-2)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab 
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️2 Aug 2024, 26 Muharramul Haram 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?

 *Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum Wa Rahmatull...

Popular Posts