Naat Khwañ Ya Muqarrir Ko Nazrana Dena Ya Uska Lena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُه‎
Agar Naatkhwan Mehfil (Milad) Attend Karne Ka Paise Laete Hai Charge Karte Hai Kya Yae Laena Ya Dena Jayaz Hai?

Jawab Inayat Farmae!

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Fee Zamana Naat Khwañ Hazraat Ya Muqarrireen Hazraat Ka Nazrana Lena or Onko Dena Jaaiz He, Haañ Lekin Itna Zyada Pahle Se Tay Karna Bahetar Nahiñ, or Ujrat Tay Karte Waqt Ijaara Ke Usooloñ Ki Pabandi Zaroor Karni Chahiye or Aysa Tareeqa Bhi Na Ikhtiyar Kiya Jaye Jisse Aulma Ya Naat Khwanoñ Ki Izzat Majrooh Ho..

Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,
Is Zamana Me Wa'az, Imamat, Azan Ta'aleeme Qura'an W Hadees or Ta'aleeme Fiqh Par Ujrat Lena Jaaiz He,

Fatawa Razviya Kitabul Ijaarah Me He,
Balki Ba'az Aulma Ne Wa'az Ko Bhi in Umoore Mustasna Me Dakhil Kiya Jin Par Is Zamana Me Akhze Ujrat Mashaikhe Mutakhkhirin Ne Bahukme Zaroorat Jaaiz Rakha.
*📚(J-8, S-139)*

Neez Isi Me He,
Asl Hukm Ye He Ki Wa'az Par Ujrat Leni Haram He, Durre Mukhtar Me Ise Yuhoodo Nasara Ki Zalalatoñ Me Se Gina Magar,
کم من حکم یختلف باختلاف الزمان کمافی العالمگیریۃ
Kulliya Gair Makhsoosa Ki Ta'at Par Ujrat Lena Najaaiz He, A'imma Ne Halate Zamana Dekh Kar Usme Se Chand Cheeze Bazaroorat  Mustasna Ki, Imamat, Azan, Taaleeme Qura'ane Majeed, Talime Fiqh Ki Ab Musalmanoñ Me Ye Aa'amal Bila Nakeer Muaawza Ke Sath Jaari Hai. 

Majmaul Bahrain Wagairah Me Inka Panchwañ Wa'az Gina Wa Bas.

Faqih Abul Lays Samarqandi Farmate Hai,
Me Chand Cheezoñ Par Fatwa Deta Tha Ab Unse Ruju'a Ki Azañ Jumla Me Fatwa Deta Tha Ki Aalim Ko Jaaiz Nahiñ Ki Dehat Me Daura Kare or Wa'az Ke Aoz Tahseel Kare, Magar Ab Ijazat Deta Huñ. Lihaza Ye Aysi Baat Nahi Jis Par Nakeer Lazim Ho (Yaani Paisa Le Kar Wa'az Imamat Azan or Talim Dena Aysi Baat Nahi Jis Par Aitraz Kiya Jaye)
*📚(J-8, S-185)*

Lihaza Kisi Aalim Ne Mazkoora Cheezoñ Me Se Kisi Cheez Par Ujrat Muqarrar Ki Ya Wa'az Par Ujrat Ka Mutalba Kiya Ya Koi Wa'az Par Ujrat Muqarrar Karke Leta He to Shar'an Jaaiz W Durust He Kisi Ka Is Par Aitraaz Jaaiz Nahiñ.

Durre Mukhtar Me He,
والثانی الخاص و ھو من یعمل لواحد عملا مؤقتا ـ بالتخصیص و یستحق الاجر بتسلیم نفسه فی المدۃ اھ
K Ajeer Ki Dusri Qism Ajeere Khas He or Vo Ye He Ki Kisi Khas Waqt Me Khas Aadmi Ke Liye Amal Karna or Us Muddat Me Vo Tasleeme Nafs Karde to Ujrat Ka Mustahiq Hota He.
*📚(J-9, S-94,95)*

Or Raddul Muhtaar Me He,
قال فی الھدایۃ و بعض مشائخنا رحمه اللہ تعالی استحسنوا الاستئجار علی تعلیم القرآن الیوم لظھور التوانی فی الامور الدینیۃ ففی الامتنأع تضییع حفظ القرآن و علیه الفتویٰ ھ۱ وقد اقتصر علی استشناء تعلیم القرآن ایضا فی متن الکنز و متن مواھب الرحمن و کثیر من الکتب و زاد فی مختصر الوقایۃ و متن الاصلاح تعلیم الفقه و زاد فی متن المجمع الامامۃ و مثله فی متن الملتقی و دررالبحار و زاد بعضھم الاذان والاقامۃ والوعظ ھ۱
*📚(J-9, S-76)*

Lekin Khutba Ko Ujrat Tay Karte Waqt Ek to Ijaara Ke Usooloñ Ki Pabandi Zaroor Karni Chahiye Dusre Aysa Tareeqa Na Ikhtiyar Karna Chahiye Jis Se Unki or Aulma Ki Waq'at Majrooh Ho. Aaj Kuchh Khutba Is Taur Par Maumla Tay Marte Hai Jese Kisi Jins Bazar Ka Daam  Tay Kiya Jata He Vo Usse Bacheñ.
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-302)*

Or Sarkar Tajushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Se Suwal Hua Ki Milad Khwañ Hazraat Ko Kuchh Rupya Bataure in'aam Dete He Vo Lena Kesa Jiske Jawab Me Aapne Farmaya, 
Jaaiz He.
*📚(Fatawa Tajushshariyah, J-9, S-166)*

Or Ek Sawal Ke Naat Khwañ Ya Muqarri Ka Naat Parhne Ya Takrir Karne Ke Liye Nazrane Ki Raqam Fix Karna Kesa Jiske Jawab Me Aapne Farmaya Ki,
Fix Nahiñ Karna Chahiye.. (Yaani Ye Bahetar Tareeqa Nahiñ)
Http://jamiaturraza.com/session/16feb14/4.mp3

Or Ek Dusre Sawal Ki Naat Khwanoñ Ko Naat Parhne Par Nazrana Dene Ke Ta'alluq Se Jiske Jawab Me Aapne Farmaya Ki,
Ye Raqam Jaaiz He, Is Liye Ki Aam Taur Par Naat Khwanoñ Ki Taraf Se Ye Raqam Maangi Nahiñ Jati He, Na Dene Wale Us Taur Par Dete He..
Https://jamiaturraza.com/session/23dec12/6.mp3
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad*
*🗓️2 Sep 2024, 27 Safar 1446*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare.*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?

 *Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum Wa Rahmatull...

Popular Posts