Taqdeer Ki Qisme Or Shadi Kisse Hogi Konsi Taqdeer Me He ? Or Kya Taqdeer Dua Se Tabdil Hoti He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
‏اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُه‎
Hamari Shadi Kisse Hogi Aur Woh Larki Hamare Liye Likhi Ja Chuki Haii , Kya Yeh Taqdeer E Mubrak Hai ? 
Jo Kabhi Nhi Badal Sakta Anbiya-e-kiram Ke Dua Se Bhi Tadqeer E Mubrak Nhi Badalta . 
To Kya Jis Larki Se Shadi Hona Likha Hai Ussi Se Hoga Yeh Biwi Ka Mas'ala Taqdeer E Mubrak Hai Ya Taqdeer E Mualaq Haii ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Qaza Ki Teen Qismeñ Hai..
1. Mubrame Haqeeqi: 
Ye Vo Qism He Ki Jo Allah Tabarak W Ta'ala Ke Ilm or Hukm Me Atal He or Kisi Ki Dua Ya Koi Nek Kaam Karne Se Tabdeel Nahiñ Hoti.

Jaisa Ki Farmane Baari Ta'ala He,
مَا یُبَدَّلُ الْقَوْلُ لَدَیَّ 
Tarjama E Kanzul Iman: Mere Yahañ Baat Badalti Nahiñ.
*📚(Para-26, Surah Qaaf, Aayat-29)*

2. Muallaq Shabiyah Ba Mubram:
Ye Qism Tabdeel to Ho Sakti He Lekin Uski Tabdeeli Sirf Allah Tabarak Wa Ta'ala Ke Ilm Me Hoti He Muqarrab Farishte Bhi Iski Tabdeeli Se La Ilm Hote Hai Jiski Wajah Se Ye Mubram Ke Mushabah Hoti He Haañ Allah Ke Khas Bandoñ Ki Dua or Iltija Ke Sabab Tabdeel Ho Jati He.
3. Muallaqe Mahaz:
Isme Tabdeeli Ilme Ilahi Ke Sath Sath Farishtoñ Ke Ilm or Unke Sahaf (Registeroñ) Me Mazkoor Hoti He Lihaza Walidain Ya Awliya Ki Dua Ya Nek Kaam W Sadqa W Khairat Karne Se Tal Jati He.
*📚(Makhuz Az Bahare Shariyat, J-1, S-12)*

Dusri or Tisri Qism Ka Tabdeel Hona Qur'an Paak or Hadeese Mubaraka Se Sabit He Jaisa Ki Farmane Baari Ta'ala He,
 یَمْحُوا اللّٰهُ مَا یَشَآءُ وَ یُثْبِتُ 
Tarjama E Kanzul Iman: Allah Jo Chahe Mitata or Sabit Karta He.
*📚(Parah-13, Surah Ar-ra'ad, Aayat-39)*

Isi Tarah Hadees Paak Me He,
ان الدعاء یرد القضاء بعد ما ابرم
Beshak Dua Qaza E Mubram Ko Taal Deti He.

Taqdeer Ki in Aqsaam Ko Samajh Lene Ke Baad Hameñ Taqdeer Par Imaan Rakhne Ke Sath Sath Deen W Dunya Ki Bhalaiyañ (Khawah Vo Nikah Ka Muamla Ho Ya Koi Aur) Hasil Karne Ke Liye Jaaiz Tadabeer Ikhtiyar Karni Chahiye or Behtareen Tadbeer Dua Karna He Lihaza Nikah Ke Muta'alliq Duaa Karni Chahiye Ki Maula Nek Saaleh Joda Ata Farma or Rishte Ki Talash Me Sarkar ﷺ Ke Farman Ke Mutabiq Deen Daari Ko Tarjeeh Deni Chahiye. Neez Taqdeer Ke Masaail Me Zyada Gouro Fikr Se Bachna Chahiye Ki Halakat Ka Sabab He..

Huzur Sadrushshariyah Irshad Farmate Hai,
Qaza W Qadr Ke Masaail Aam Aqloñ Me Nahiñ Aa Sakte Unme Zyada Gauro Fikr Karna Sababe Halakat He Siddique W Farooq Radiallahu Anhuma Is Mas'ala Me Bahas Karne Se Mana'a Farmaye Gaye Ma W Shama Kis Ginti Me..
*📚(Bahare Shariyat, J-1, S-18)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam 
*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Ziyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khatibo Imam Aala Hazrat Raza Jame'a Masjid, Gomoh Dhanbad, Jarkhand*
*🗓️12 Aug 2024, 6 Safar Ul Muzaffar 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts