Hambali Imam Ke Pichhe Hanfi Ki Namaz Ka Hukm?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Ulema E Ikraam  
Mere Suwaal Ye Hai Ke Kya Hanbali Imam Ke Peeche Hanafi Shakhs Ki Namaaz Ho Jaati Hai ? Jaldi Miljaye .

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hanfi Agar Janta He Ki Imam Ke Andar Aysi Baat Maujud Ho Jis Ke Sabab Hamare Mazhab Me Uski Taharat (Paak W Saaf Hona) Ya Namaz Fasid He to Iqteda Haram or Namaz Batil He, or Agar Us Waqt Ke Bare Me Kuchh Maloom Nahiñ Magar Itna Maloom Ho Ki Hamare Mazhab Ke Faraaiz Wa Sharaait Ki Riaayat Nahiñ Karega to Iqteda Mamnoo'a or Uske Pichhe Namaz Sakht Makrooh. Or Agar Ye Maloom Ho Ki Hamare Mazhab Ki Bhi Riaayat W Ehtiyaat Karta He to Uske Pichhe Namaz Bila Karahat Jaaiz Wa Durust He Jabki Hambali Imam Sunni Sahihul Aqeedah Ho. Or Agar Kuchh Nahiñ Maloom to Uski Iqteda Makroohe Tanzihi He..

Jaisa Ki Muhaqqiqe Jaleel Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Muhaddise Bareilvy Alaihir Rahma Farmate Hai Ki,
Agar Maloom He Ki Us Waqt Imam Me Vo Baat He Jiske Sabab Mere Mazhab Me Uski Taharat Ya Namaz Fasid He to Iqteda Haram Namaz Batil or Agar Us Waqte Khas Ka Haal Ilm Nahiñ Magar Maloom He Ki Ye Imam Mere Mazhab Ke Faraaiz Wa Sharaait Ki Ehtiyaat Nahiñ Karta He to, Iqteda Mamnoo'a or Uske Pichhe Namaz Sakht Makrooh or Agar Maloom He Ki Mere Mazhab Ki Bhi Riaayat Wa Ehtiyaat Karta He Ya Maloom Ho Ki Us Namaz Me Riaayat Kiye Huve He to Uske Pichhe Namaz Bila Karahat Jaaiz He. Jabki Sunni Sahihul Aqeedah Ho Na Ki Gair Muqallid Ki Apne Aapko Shafai Zahir Kare, or Agar Kuchh Nahiñ Maloom to Uski Iqteda Makroohe Tanzihi...
*📚(Fatawa Razviya, Qadeem, J-3, S-238, Maktabah Razviya)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Shahabuddin Misbahi Sahab*
*📬Darul Uloom Shahe Aalam Ahemdabad*
*🗓️19 Aug 2024, 13 Safar 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts