2 Ya 3 Peer Se Mureed Hona Kesa ? Or Talib Hona Kesa ? or Pahle Shaikh Ki Bay'at Tod Kar Dusre Peer Ki Bay'at Kab Kar Sakte He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Kai Log Kehte Hain Ke 
Hum 2 Ya 3 Peer Sab Se Bayat Ki Hai Mureed Howe Hain

Ulma E Deen Is Par 
Rosni Dalen 

Jazak Allahu Khair

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ek Hi Sath Do Peer Ya Zaaid Peer Se Mureed Nahiñ Ho Sakte Ki Pahle Jaame Sharaait Peer Sahab Se Apni Bay'at Qaaim Rakhte Huve Dusri Jagah Mureed Hone Ki Ijazat Nahiñ, Kyuñ Ki Do Jagah Mureed Hone Wala Kisi Taraf Se Bhi Faiz Nahiñ Pata Vo Kamyab Nahiñ Hota.. Jaise Ek Shakhs Ke Do Baap Nahiñ Ho Sakte, Ek Aurat Ke 2 Shohar Nahiñ Ho Sakte Ayse Hi Ek Mureed Ke Do Peer (Shaikh) Nahiñ Ho Sakte...

Or Dusre Silsile Me Mureed Hone Se Murad Agar Pahle Jama E Sharaait Peer Ki Bay'at Khatm Karke, Dusre Se Mureed Hona He to Ye Najaaiz He Ki Kisi Sharaee Zaroorat Ke Bagair Peer Badalna Jaaiz Nahiñ or Zaroorate Sharaee Se Murad Pahle Peer Ka Jaamae Sharaait Na Hona He.. 

Albatta Ek Peer Ka Mureed Rahte Huve Dusre Peer Se Taalib Ho Sakte Hai or Taalib Hone Ka Matlab Ye He Ki Apne Jaame Sharaait Peer Hi Ka Mureed Rahe or Dusre Jaame Sharaait Peer Se Bhi Faiz Hasil Karne Ke Liye Talib Ho Jaye, Haañ Ye Zaroori He Ki Usse Jo Kuchh Hasil Ho, Use Apne Peer Hi Ki Ata Jaane.

Bila Zaroorate Sharaee Apne Peer Ki Bay'at Khatm Karke Dusre Peer Se Bay'at Karne Ke Ta'alluq Se Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Tabdile Shaikh Bila Zaroorate Sharaiyah Jaaiz Nahiñ.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-26, S-577)*

Or Ek Hi Peer Ka Mureed Hote Huve Dusre Peer Se Mureed Hone Ke Muta'alliq Farmate Hai,
Jo Shakhs Kisi Shaikh Jaame'a Sharaait Ke Hath Par Bay'at Ho Chuka Ho, to Dusre Ke Hath Par Bay'at Na Chahiye. Akabire Tariqat Farmate Hai, "لا یفلح مرید بین شیخین" (Jo Mureed Do Peeroñ Ke Darmiyan Ho, Vo Kamyab Nahiñ Hota)
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-26, S-578)*

Or Ek Hi Peer Se Mureed Rahte Huve Dusre Peer Se Talib Hone Ke Muta'alliq Farmate Hai,
Dusre Jaame'a Sharaait Se Talabe Faiz Me Harj Nahiñ Agarche Vo Kisi Silsila E Sareeha Ka Ho or Usse Jo Faiz Haasil Ho, Use Bhi Apne Shaikh Hi Ka Faiz Jaane. 
Jaisa Ki Sab'e Sanabil Shareef Me Sultanul Awliya Imamul Haqq Wad Deen Rahimahullahi Ta'ala Alaihi Se Marwi He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-26, S-578)*

Or Farmate Hai,
Dusre Shaikh Se Taalib Ho Magar Apni Iraadat Shaikhe Awwal Ho Se Rakhe or Usse Jo Faiz Haasil Ho Vo Apne Hi Ki Ata Jaane. Awliya E Kiram Farmate Hai Ek Shakhs De Do Baap Nahiñ Ho Sakte, Ek Aurat Ke Do Shohar Nahiñ Ho Sakte, Ek Mureed Ke Do Shaikh Nahiñ Ho Sakte.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-26, S-579, Mas'ala-297)*

Isi Tarah Huzur Mufti Aazame Hind Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Beshak Ek Jaame Us Shuroot (Peer) Ke Hath Par Bay'ate Saheeh Kare, Phir Dusre Se Bay'at Thik Nahiñ, Talabe Faiz Kar Sakta He(Yaani Taalib Ho Sakta He).
*📚(Fatawa Muatafwiya, S-537)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab 
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujarat*
*🗓️6 Nov 2024, 3 Jamadi Ul Awwal 1446*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?

 *Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum Wa Rahmatull...

Popular Posts