*Ayyame Haiz Me Gusl Karna Kesa ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Wa Rahmatullah
Kya Haiz Me Phele Din Gusul Kar Sakte or Kya 3 Din Ya 5 Din Ka Ghusl Kar Na Jaruri He Haiz Me Phele Ke Log Kehte Hai Ki 3 Din Me Nha Na Chahiye 5 Din Me Kya Ye Sab Sai He
Aur Kya Haiz Ke Phle Din Sar Dho Sakte Hai
Jawab Ata Farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Yuñhi Thandak Lene Ke Liye Ya Badboo Ya Pasine Ki Wajah Se Gusl Karna Jaaiz He, Chahe Aurat Halate Haiz Me Ho Ya Na Ho, Sar Dhone Me Bhi Koi Harj Nahiñ.. Albatta Is Gusl Karne Ki Wajah Se Aurat Haiz Se Paak Nahiñ Ho Jayegi, Jab Tak Haiz Ki Iddat Guzar Na Jaye Ya Mukammal Jo Haiz Ki Iddat He 10 Din Vo Guzar Na Jaye, Lihaza Agar Haiz Ke Ayyam Jaari Bhi He to Is Darmiyan Agar Vo Gusl Karna Chahti He Sar Wagairah Dho Kar To Jaaiz He, Koi Harj Nahiñ... Lekin Asl Mas'ala Yahi He Ki Vo Usse Paak Nahiñ Hogi or Na Uspar Vo Sab Namaze Zaroori Ho Jayegi Kyuñ Ki Abhi Usko Ayyame Haiz Jaari He..
Aysa Hi Kutube Fiqh Me He,
Or Sawal Me Jo Zikr He Ki Haiz Ke 3 Din Ya 5ve Din Nahana Zaroori He ? Ye Koi Zaroori Nahiñ He... Agar Nahaye to Koi Harj Nahiñ or Agar Na Nahaye to Koi Gunah Bhi Nahiñ, Haañ Agar Haiz Aana Band Ho Gaya to Gusl Kar Sakti He.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️5 Nov 2024, 2 Jamadi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment