*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Zaid Ka Sawal Hai Ki Wada Khilafi Aur Man Me Kasam Khakar Toddi Yani Falah Kaam Nhi Krunga Me Kasam Khata Hoon Fir Wahi Kaam Krta Hai Toh Kya Uske Aisa Krne Par Shariat Me Uspar Koi Hukoom Lagega Kya?
Jabki Wo Yeh Bolta Hai Allah Me Tujh Se Wada Krta Hoon Yeh Kaam Na Krunga Ya Kasam Khata Hoon
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sawal Me Darj Alfaaz Ki Maslan Zaid Kahta He Ki "Ay Allah ! Me Qasam Khata Huñ Ki Me Falañ Kaam Nahiñ Karuñga" Ya "Ay Allah ! Me Wada Karta Huñ Ki Falañ Kaam Nahiñ Karuñga..." Or Fir Uske Baad Me Kiya to Ye Qasam Qasame Sharaee He or Ye Mun'aqid Ho Jati He, Agar Is Qasam Ke Kha Lene Ke Baad Phir Vo Dubara Wahi Amal Karta He, to Aysi Soorat Me Uspar Kaffara Laazim Hoga.. Or Kaffara Ye He Ki Vo Banda 10 Miskeenoñ Ko 2 Waqt Ka Bhar Pet Khana Khilaye Ya Unheñ Kapde Pahnaye Ya Gulam Aazad Kare.. Or in Teenoñ Me Se Koi Soorat Na Ban Sake to Aysi Soorat Me 3 Din Musalsal Roze Rakhe.. Ye Qasam Jo Sawal Me Darj He Ye Qasame Sharaee He or Iske Tod Dene Par Kaffara Lazim Hota He..
Mazeed Tafseel Ke Liye *📚Bahare Shariyat, H-9, Kaffara Ka Bayan* Me Dekhe..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Mufti Nizamuddin Razvi Amjadi Sahab*
*📬Khadimut Tadrees Jaamia Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow*
*🗓️13 Nov 2024, 10 Jamadi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment