Qaidah Ne Attahiyat Se Pahle Bismillah Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Attahiyat Shuru Karne Se Pehle Bismillah Sharif Padhna Kaisa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
الجواب بعون الملك الوهاب
Tashahud Se Pahle Tasmiya Yaani Bismillah Shareef Padhna Makroohe Tahreemi Hai Kiun Ki Ka'ada Me Tashahud Ka Moqaddam Hona Wajib Hai Aur Usse Pahle Tasmiya Padhna Tark Wajib Huwa Jo Makroohe Tahreemi Hai Is Liye Agar Tashahud Se Pahle Jaan Bujh Kar Tasmiya Padha to Namaz Wajibul Aiaadah Hogi.

Aur Agr Bhul Kar Padh Diya to Sajdae Sahw Wajib Hoga..

Jaisaa Ki Fatawa Aalamgiri Me He,
ولو قرأ فی القعود إن قرأ قبل التشہد فی القعدتین فعلیہ السہو لترک واجب الابتداء بالتشہد أول الجلوس " اھ
Qa'ada Me Bethte Hi Tashahud Padhna Wajib He Lihaza Agara Tashahud Shuru'a Karne Se Pahle Kuchh or Parh Liya to Takhire Wajib Ki Wajah Se Sajda E Sahw Karna Wajib Hoga.
*📚(Fatawa Aalamgiri, J-1, S-127)*

Or Fatawa Razviya Me He,
Qayam Ke Siwa Ruku'a W Sujud W Qa'ada Kisi Jagah Bismillah Parhna Jaaiz Nahiñ Ki Vo Aayate Qura'ani He or Namaz Me Qayam Ke Siwa or Jagah Koi Aayat Padhni Mamnoo'a He.
*📚(Fatawa Razviya Sharif Qadeem, Jild-3, Safha-134,135)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Ashraf Qadri Alimi Sahab*
*📬 Madarsa Lateeful Uloom, Raza Nagar, Jigna, Mirzapur, Up*
*🗓️14 Nov 2024, 10 Jamadi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts