Dukandaar Ka 80 Rupya Ki Kharidi Cheez Ko 100 Rupya Me Bechna Kesa ?

 *Dukandaar Ka 80 Rupya Ki Kharidi Cheez Ko 100 Rupya Me Bechna Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Warahmatullahi Tala Wabarakatuhu Mufti Sahab Ki Bargah Me 
Suwal Arz Hai Ki Mai Ek Karigar Hu Material Ke Sath Me Mai Work Karta Hu, 
Customer Ku Mai Material Ka Itna Paisa Batata Hu Aur Mere Work Ka Itna 
Paisa Bata Hu Misal Ke Taur Pe Material Ke 100 Rupiye Hue Aur Mere Work Ke 
50 Rupiye, Lekin Market Me Mujhe Material 80 Rupe Me Hi Miljata Hai 20 Rupe 
Mujhe Meterial Me Bhi Bajte Hai to Is Tarah Se Wo 20 Rupiye Bachana Mere 
Liye Jaiz Hoga Ya Haram Baraekaram Jawab Inayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ye Jaaiz He Ki Aapne Market Se Kisi Cheez Ko 80 Rupya Me Kharida or Aap Use 100 Rupya Me Beche, to Aap Jo Business Kar Rahe He Usme Koi Kabahaat Nahiñ Jaaiz He, Sirf Ye Ki Jhuth Ki Milavat Nahiñ Honi Chahiye...

Misaal Ke Taur Par Aapko Market Rate Par 80 Rupya Me Maal Pada He, to Aap Customer Ko Yuñ Na Kahe Ki Mujhe 100 Rupya Me Pada He, Ye Jaaiz Nahiñ Ki Ye Jhuth He.. Haañ Aap Yuñ Kah Sakte He Ki Mujhe Apna Ye Maal 100 Rupya Me Bechna He Ya 200 Me Bechna He Ye Aapki Marzi He, Ab Customer Ka Jee Chahe to Kharide Chahe to Na Kharide Kyuñ Ki Aap Us Maal Ke Maalik Ho Gaye or Maal Ke Maalik Hone Ke Baad Chahe Vo Kagaz Ka Tukda Hi Kyuñ Na Ho Us Kagaz Ke Tukde Ko Aap 1000 Rupya Ke Badle Me Bhi Bech Sakte Hai, Jaaiz He..

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Har Shakhs Apne Maal Ka Mukhtaar He Jitne Ko Chahe Beche.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-17, S-150)*

Or Ek Jagah Farmate Hai,
Vo Mushtari (Customer) Par Jabr Nahiñ Karta Na Use Dhoka Deta He, or Apne Maal Ka Har Shakhs Ko Ikhtiyar He Chahe Korhi Ki Cheez Hazaar Rupya Ko De, Mushtari Ko Garz Ho Le, Na Ho Na Le.

Raddul Muhtaar Me He,
لوباع کاغذہ بالف یجوز ولایکرہ
Agar Kisi Ne Kagaz Ka Tukda Hazar Ke Badle Me Becha to Jaaiz He or Makrooh Nahiñ.
*📚(ردالمحتار کتاب الکفالۃ مطلب فی بیع العینۃ داراحیاء التراث العربی بیروت ۴ /۲۷۹)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-17, S-98, Mas'ala-24)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️5 Nov 2024, 2 Jamadi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?

 *Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum Wa Rahmatull...

Popular Posts