*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum Hazrat Kya Paani Khade Hokar Peena Bhi Sunnat Hai ? Jaisa Ki Ek Hadees Me Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ka Fe'al Bataya Gaya He ?
اللهم هداية الحق والصواب:
Hazrat Rasoole Khuda ﷺ Se Khade Ho Kar Paani Pine Ke Muta'alliq Jawaz W Mana'a Donoñ Tarah Ki Ahaadis Sabit He, Chunanche Hazrat Abdullah Ibne Amr Bin Aas Farmate Hai,
Mene Rasoolallah ﷺ Ko Khade Ho Kar, Beth Kar Donoñ Tarah Pite Huve Dekha.
*📚(Jame'a Tirmizi, Musnad Imam Ahmad)*
Hazrat Maula E Kaainat Radiallahu Anhu Ka Ye Amal Isi Bina Par Hoga Ki Aapne Huzur Ko Khade Ho Kar Paani Pite Dekha Hoga Jaisa Ki Aap Se Dusri Jagah Marwi Farmate Hai Mene Huzur Ko Donoñ Tarah Pite Huve Dekha (Yaani Khade Ho Kar Bhi, Beth Kar Bhi)
*📚(Musnad Imam Ahmad)*
Mumkin He Ki Ye Vo Paani Jo Maula E Kaainat Radiallahu Anhu Ne Piya Vo Wuzu Ka Bacha Huva Paani Ho..
Jaisa Ki Sahih Bukhari W Tirmizi Shareef Me He,
"Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ne Wuzu Farmaya or Wuzu Ke Baad Bacha Hua Paani Khade Khade Pi Liya or Farmaya Ki Rasoolallah ﷺ Ne Bhi Aysa Hi Farmaya Tha" اھ
Or Huzur ﷺ Ka Ye Mubarak Ma'amool Tha Ki Aap Beth Kar Paani Nosh Farmate or Khade Ho Kar Paani Pine Se Mana'a Farmate the, Taaham Ba'az Ahadise Mubarak Me Aap ﷺ Ke Khade Ho Kar Paani Nosh Farmane Ka Jo Zikr Maujud He Shariheene Hadees Ne Uske Tahat Farmaya Ki Aap Ka Khade Ho Kar Paani Nosh Farmana Ya to Bayaane Jawaz Ke Liye Tha Ya Kisi Uzr Ki Wajah Se Tha..
Umdatul Qaari Sharah Saheehul Bukhari Me He,
’’وأما شربه قائما فلبيان الجواز‘‘
Baharhaal Huzur ﷺ Ka Khade Ho Kar Paani Pina, to He Bayane Jawaz Ke Liye Tha.
*📚(Umdatul Qaari Sharah Sahihul Bukhari, J-7, S-219, Matbooah Darul Fikr, Bayrut)*
Chunanche Jin Riwayat Me Nahi Warid He Vo Nahi Hurmat Nahiñ, Nahi Tanzihi He, Lihaza Khade Ho Kar Pina Haram Nahiñ He.
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Mufti Faiz Raza Khan Tahesini Mazhari Summa Manzari Sahab Qibla*
*📬 Markaze Ahle Sunnat Bareilly Shareef*
*🗓️3 Nov 2024, 30 Rabi Us Saani 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment