*Ek Aurat Ne Kaha Hinda Ne Ladka Ladki Ko Dudh Pilaya He Or Hinda Ek Hi Ka Kahe To Raza'at Sabit Hogi ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kuchh Aurteñ Baate Kar Rahi Thi Jisme Se Ek Aurat Ne Kaha Ki Hinda Ne Ladka Or Ladki Donoñ Ko Dudh Pilaya Hua He Jabki Khud Hinda Ye Kah Rahi He Ki Usne Sirf Ladke Ko Dudh Pilaya He Ladki Ko Nahiñ... Donoñ Ki Shadi Bhi Ho Gai He... Is Soorat Me Kya Raja'at Saabit Ho Jayegi ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jis Tareeqe Se Ba'az Aurteñ Nasab Ki Wajah Se Mard Par Haram He Yuñ Hi Razaa'a Me Bhi Mard Ke Liye Haram He, Lihaza Ek Aurat Ne Do Bachchoñ Ko Dudh Pilaya Jinme Se Ek Ladka He or Ek Ladki He to Ye Ladka or Ladki Donoñ Aapas Me Bhai Bahan Hai or Un Donoñ Ka Aapas Me Nikah Haram... Jaisa Ki Bahare Shariyat Me Huzur Sadre Shariyat Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
"Ek Aurat Ka Do Bachchoñ Ne Dudh Piya or Unme Ek Ladka, Ek Ladki He To Ye Bhai Bahan Hai or Nikah Haram Agarche Donoñ Ne Ek Waqt Me Na Piya Ho Balki Donoñ Me Barsoñ Ka Faasla Ho Agarche Ek Ke Waqt Me Ek Shohar Ka Dudh Tha or Dusre Ke Waqt Me Dusre Ka."
*📚(Bahare Shariyat, H-7, Dudh Ke Rishte Ka Bayan, Mas'ala-17)*
Or Raza'at Ka Hukm Do Aadil Mard Ki Gawahi Se Hoga Ya Ek Mard or Do Aurteñ Aadil Gawahoñ Se Hoga Sirf Aurtoñ Ki Gawahi Se Raza'at Ka Hukm Sabit Nahiñ Hoga... Magar Bahetar Ye He Ki Aurtoñ Ke Kahne Se Bhi Miyañ Biwi Me Judaai Ho Jaye to Bahetar He Mustahab He...
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
"Raza'a Ke Saboot Ke Liye Do Mard Ya Ek Mard or Do Aurteñ Aadil Gawah Hoñ Agarche Vo Aurat Khud Dudh Pilane Wali Ho, Faqat Aurtoñ Ki Shahadat Se Saboot Na Hoga Magar Bahetar Ye He Ki Aurtoñ Ke Kahne Se Bhi Judaai Karle.."
*📚(Bahare Shariyat, H-7, Dudh Ke Rishte Ka Bayan, Mas'ala-26)*
Yuñhi Ek Mard Ne Kisi Aurat Se Shadi Ki or Ek Aurat Ne Aa Kar Kaha Ki Mene Tum Donoñ Ko Dudh Pilaya He Agar Shohar Ya Miyañ Biwi Donoñ Is Aurat Ke Kahne Ko Sach Sach Samajhte Hoñ Ki Waqai Ye Sach Kah Rahi He to Aysi Soorat Me Nikah Fasid Ho Jayega Toot Jayega... Or Agar Shohar Ya Donoñ Is Aurat Ki Baat Ko Sach Na Maante Ho to Aysi Soorat Me Nikah Fasid Nahiñ Hoga Nikah Tootega Nahiñ Albatta Agar Vo Aurat Aadil He Nek or Parhezgaar He to Phir Aysi Soorat Me Miyañ Biwi Me Judaaigi Kar Lena Ye Bahetar or Mustahab He. Lekin Agar Judaai Ki Na Ki to Ye Zaroori Nahiñ He or Na Gunah He ..
Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Bahare Shariyat Me Farmate Hai,
"Kisi Aurat Se Nikah Kiya or Ek Aurat Ne Aa Kar Kaha, Me Ne Tum Donoñ Ko Dudh Pilaya He Agar Shohar Ya Donoñ Uske Kahne Ko Sach Samajhte Hoñ to Nikah Fasid He or Wati Na Ki Ho to Mahar Kuchh Nahiñ or Agar Donoñ Uski Baat Jhuti Samajhte Hoñ to Bahetar Judaai He Agar Vo Aurat Aadila He..."
*📚(Bahare Shariyat, H-7, Dudh Ke Rishte Ka Bayan, Mas'ala-28)*
Ab Jo Soorat Puchhi Gai He Usme Saaf Taur Par Likha He Ki Jisne Kaha Vo Dudh Pilane Wali Nahiñ Thi or Jo Dudh Pilane Waali Thi Usne to Sirf Yahi Kaha Ki Mene Sirf Ek Hi Ko Dudh Pilaya He to Zaahir Si Baat He Ki Jab Asl Dudh Pilane Wali Aurat Yahi Kah Rahi He Ki Mene Sirf Ek Hi Ko Pilaya He Donoñ Ko Nahiñ Pilaya or Donoñ Ko Pilane Ki Baat Dusri Aurat Kar Rahi He to Phir Is Soorat Me Us Dusri Aurat Ki Baat Ka Kya Aitbaar ! Haañ Agar Ye Dusri Aurat Do Aadil Mard Gawah Ya Ek Mard Do Aurteñ Aadil Gawah Pesh Karde to Phir Unki Gawahiyoñ Ki Bina Par Qaazi Sahab Donoñ Ke Darmiyan Tafreeq Kar Sakte Hai Magar Na Us Aurat Ke Paas Koi Gawah He or Na Saboote Sharaee Ki Jiske Zariye Miyañ Biwi Me Judaaigi Kar Di Jaye Donoñ Ke Darmiyan Tafreeq Kara Di Jaye Lihaza Hukme Shara'a Yahi He Ki Ye Donoñ Ab Bhi Badsutoor Miyañ Biwi Hi He..
هذا ما ظهر لي والله تعالى اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️11 Nov 2024, 8 Jamadi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment