*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Agar Pata Ho Ki Shaadi Me Use Hua Paisa Halaal Nahi Hai to Kya Aisi Daawat Me Jana Chahiye ?
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Agar Us Shakhs Ki Aamdani Khalis Haram Ho, Or Vo Apni Is Muta'ayyin haram aamdani se khana khilaye to jaan bukh kar ayse shakhs ka Khana khana jaaiz nahiñ he, ayse shakhs ma boycott kiya jaye usse mel jol munasib nahiñ or uski daawat bhi qubool nahiñ karni chahiye taaki vo haram kamaai ko chhod deñ...
Or Jab Tak Yaqeeni Taur Par Ye Maloom Na Ho Ki Vo Ba'ayniya Maale Haram Se Da'awat Kar Raha He to Uske Yahañ Da'awat Khana Jaaizo Durust He Magar Is Sabse Bachna Awla He Ki Khwah Makhwah Log Badgumni Ke Shikar Hoñge..
Fatawa Razviya Me He,
"Jaaiz Baayeñ Ma'ana to He Ki Khaye Ga to Koi Shay Haram Na Khaai Jab Tak Ma'aloom Na Ho Ki Ye Shay Jo Mere Samane Aai Ba'ayniya Haram He..
بہ ناخذ مالم نعرف شیا حرام بعینہ نص علیہ محررالمذھب الامام محمد رحمہ اللہ تعالی کمافی الذخیرہ وغیرھا.
Magar Ehteraz Awla Khusoosan Jab Ki Gaalib Haram Ho,
خروجا عن الخلاف وکما فی ردالمحتار عن الذخیرۃ عن الامام ابی جعفر احب الی فی دینہ ان لا یاکل ویسعہ حکما ان لم یکن ذلک الطعام غصبا ورشوۃ "اھ
*📚(Fatawa Razviya, J-9, S-106)*
Kisi Haram Maal Se Kharidi Hui Cheez Me Hurmat W Khabasat Ke Sarayat Karne Yaani Us Kharidi Hui Cheez Ke Haram W Khabees Hone Ke Liye Kharido Farokht Me Maale Haram Par Aqdo Naqd Ka Jama'a Hona Zaroori He. Maale Haram Par Aqdo Naqd Jama'a Hone Ka Ye Ma'ana He Ki Haram Rupya Dikha Kar Kahe Is Rupye Ke Badle Falañ Cheez De Do or Jo Rupye Dikhaye the Wahi Haram Rupye Qeemat Me Ada Karde, Is Tarah Aqdo Naqd Maale Haram Par Jama'a Hone Se Jo Cheez Kharidi Jayegi Vo Bhi Haram Thahregi. Lekin Agar Kharido Farokht Me Maale Haram Par Aqdo Naqd Jama'a Na Hoñ Maslan
1) Saaman Kharidte Huve Haram Rupye Dikhaye the Magar Dete Huve Halal Rupye Diye Ki Yahañ Haram Maal Par Aqd Huva Lekin Naqd Nahiñ Paya Gaya.
2) Saman Kharidte Waqt Halal Rupye Dikhaye Magar Dete Huve Haram Diye.
3) Kharidte Waqt Halal Ya Haram Koi Bhi Rupye Nahiñ Dikhaye Lekin Dete Waqt Haram Rupye Diye. In Donoñ Misaaloñ Me Haram Maal Par Naqd Paya Gaya Lekin Aqd Nahiñ Huva Lihaza in Soortoñ Me Kharidi Hui Cheezoñ Me Hurmat Paida Nahiñ Hogi Yaani Vo Cheezeñ Halal Raheñgi.
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Shahabuddin Misbahi Sahab*
*📬Darul Uloom Shahe Aalam Ahemdabad*
*🗓️11 Nov 2024, 8 Jamadi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujarat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ... Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment