*Gair Muqallideen, Wahabiyah W Najdiyah Ki Taqreer Sunna Kesa ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Aulma E Kiram Is Mas'ala Me Ki Ek Shakhs He Jo Gair Muqallideen, Wahabi, Najdiyoñ Ki Taqreer Sunta He or Unki Video Dekhta He to Unke Liye Kya Hukm He ? Qur'aan or Hadees Ki Roshni Me Jawab Inayat Farmayeñ.
بسم اللہ الرحمن الرحیم
Gair Muqallideen, Wahabi Wagairah Ki Taqaareer Sunna Najaaizo Haram He Agarche Khalis Qur'aan Ki Tafseer or Hadees Ka Tarjama Hi Kyuñ Na Ho Ki Bahut Mumkin He Ki Ahaadis W Tafaasir Ke Darmiyan Apni Bad Aqeedgi Bhi Shamil Karke Bayan Karde or Vo Baateñ Hamare Dilme Ghar Karleñ Jis Ki Wajah Se Ma'aazallah Hamara Imaan W Aqeedah Barbad Ho Jaye, Lihaza Jo Shakhs Unki Taqaareer Sunta He Zaroor Haramo Najaaiz Ka Pairokaar He Use Chahiye Ki Taubah W Istagfaar Kare or Aaindah Kabhi Na Sunne Ka Azme Musamman Kare, Yahi Shariyate Mutahhara Ka Hukm He or Isi Par Hamare Aslaaf Ka Amal Raha He, Chunanche Muslim Shareef Me He Ki Hazrat Imame Aazam Ke Ustaad Hazrat Imam Muhammad Ibne Sireen Farmate Hai,
"ان هذا العلم دين فانظروا عمن تأخذون دينكم"
*📚(باب فى ان الاسناد من الدين، ج:1، ص: 11)*
Tarjama: Jis Se Tum Apne Deen Ka Ilm Hasil Karo Use Dekho (Ki Kahiñ Gumrah W Badmazhab to Nahiñ).
Musnad Darmi Sharef Me He,
"دخل رجلان من اصحاب الاهواء على ابن سيرين فقالا یا ابابکر ! نحدثك بحديث، فقال لا، قالا فنقرأعليك آية من كتاب الله، قال لا، لتقومان عنى او لا قومن، قال الراوى فخرجا، فقال بعض القوم يا ابابكر وما عليك ان يقرأعليك آية من كتاب الله تعالى ؟ قال اني خشيت ان يقرأ على آية فيحر فانها، فيقر ذلک فی قلبی"
*📚(باب اجتناب اهل الهواء والبدع الخ، ج:۱، ص: ۳۸۹ ، المكتبة العربية السعودية)*
Tarjama: Hazrat Imam Muhammad Ibne Sireen Ki Majlis Me Do Badmazhab Aaye or Kaha Ham Aap Ke Samne Ek Hadees Bayan Karna Chahte Hai, Aap Ne Farmaya Ki Mai Sunne Ke Liye Tayyar Nahiñ Huñ, Un Donoñ Ne Kaha: Ham Qur'aan Ki Ek Aayat Parhna Chahte Hai, Aapne Farmaya Nahiñ, Tum Log Mere Paas Se Chale Jaao Ya Mai Hi Chala Jata Huñ, Tab Vo Donoñ Chale Gaye, Phir Hazireene Majlis Me Se Kisi Ne Kaha Hazrat ! Agar Vo Qur'aan Shareef Ki Koi Aayat Parhte to Sunne Me Aapka Kya Bigadta ? Aapne Farmaya Ki Mujhe Khof Huva Ki Vo Aayate Kareema Parh Kar Uska Galat Ma'ana Bayan Kar Dete, Phir Wahi Ma'ana Agar Mere Dil Me Jam Jata to Mera Aqeedah Bhi Kharab Ho Jata.
Jab Itne Bade Bade Imam W Faqeeh Kisi Gumrah W Badmazhab Se Qur'aan W Hadees Sunne Ke Liye Tayyar Nahiñ Ki Kahiñ Uski Baat Mere Dil Me Jam Na Jaye, Hameñ to or Bhi Zyada Parhez W Ijtinab Ki Zaroorat He Ki Hamara Imaan W Aqeedah in Buzurgoñ Se Bahut Zyada Kamzor He, or Dusri Baat Ye Ki Vahañ Qur'aan W Hadees Sunane Ke Liye Puchha Gaya Tha Halañki Yahañ to Bayan Suna Ja Raha He Lihaza Is Amr Ka Mazeed Khadsha He.
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Katabahu: Muhammad Imtiyaz Ahmad Amjadi*
*📬 Al-Mukhtasas Fil Fiqh Al-Hanfi Imam Ahmad Raza Learning And Research Centre Nasik, Maharashtra*
*🗓️29 Nov 2024, 26 Jamadi Ul Ula 1446*
*✅Qad Sahhal Jawab, Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab*
*Abul Akhtar Hazrat Allama Mufti Mushtaq Ahmad Amjadi Gufralahu*
*📬Khadim: Azhari Darul Ifta, Nasik*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Bagair Ijazat Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment