*Jis Aurat Ko Sar Par Paani Dalna Nuqsan Deta Ho Vo Gusl Farz Kese Karegi*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum, Kya Farmate Hai Aulma E Deen W Muftiyane Shara'a Mateen Mas'ala Zail Me Ki,
Hinda Ki Sehat Ka Mas'ala Hai Ke Sar Se Rozana Pani Bahane Yani Sar Se Gusl Karne Se Bukhar Lag Jati Hai to Is Surat Mai Gusl Kaise Kare ?
Kya Wo Paaki Ka Gusl Kandhe Se Kar Sakati Hai Agar Nahi to Fir Kaise Kare ? Quraan Wa Hadees Ki Roshani Main Jwab Dijiye
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Bar Sidqe Mustafti Soorate Mas'oola Me Agar Hinda Ko Waqaee Sar Par Paani Dalna Zarar (Nuqsan) Pahunchata Ho Jiska Ilm Hinda Ko Yaqeen Ya Zanne Gaalib Ya Apne Zaati Tajarba Se Ho Ya Kisi Musalman Tabeebe Haaziq Ke Batane Se Ho to Uske Liye Hukm Ye He Ki Vo Kandhe Se Gusl Kare or Teen Naye Paaniyoñ Se Sar Ka Masah Kare Vo Paak Ho Jayegi, Us Par Sar Dhona Lazim Nahiñ.
Minhatul Khaliq Ala Bahrur Raaiq Me He,
"والمرأة لوضرها غسل راسها في الجنابة أو الحيض تمسح على شعرها ثلاث مسحات بمياه مختلفة و تغسل باقي جسدها اه قال في الفيض: وهو عجيب"
*📚(كتاب الطهارة باب التيمم ، ج : ص ۲۸۷)*
Tanveerul Absaar Ma'a Durrul Mukhtar Me He,
تيمم لو كان أكثره اى أكثر أعضاء الوضوء عدداًو في الغسل مساحة مجروحاًأو به جدری اعتبار اًللأكثر وبعكسه يغسل الصحيح ويمسح الجريح"
*📚(كتاب الطهارة، باب التیمّم ،ج:۱، ص۳۳۰/۴۲۹)*
وفيہ ايضاً:
من به وجع رأس لا يستطيع معه مسحه محدثاً و لا غسله جنباً ففي الفيض عن غريب الرواية يتيمم، و أفتى قارئ الهدايه أنه يسقط عنه فرض مسحه ولو عليه جبيرة، ففي مسحها قولان، وكذا يسقط غسله فيمسحه و لو على جبيرة ان لم يضره والا سقط اصلاً وجعل عادماً لذلك العضو حكماً كما في المعدوم حقيقة"
*📚(كتاب الطهارة ، باب التيمّم، ج ۱، ص ۴۳۴/۴۳۳)*
وفيه ايضاً:
" و كفى بل أصل ضفيرتها أى شعر المرأة المضفور للحرج، أما المنقوض فيفرض غسل كله اتفاقاً، ولو لم يبتل أصلها يجب نقضها مطلقاً هو الصحيح، ولو ضرها غسل رأسها تركته، وقيل تمسحه ولا تمنع نفسها عن زوجها، وسيجٔي في التيمم"
*📚(كتاب الطهارة، باب الغسل ، ج:۱، ص: ۲۸۷)*
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Qudassirrahu Raqam Taraaz Hai,
"Imame Ajl Faqeeh Abu Ja'afar Hindwani Rahimahullahi Ta'ala Ne Kitab Gareebur Riwayah Me Ek Soorat Tayammum Ki Ye Irshad Farmai He Ki Agar Wuzu Me Sab Aa'aza Be Takalluf Dho Sakta He Magar Kisi Marz Ke Baais Sar Ka Masah Zarar Karta He to Tayammum Kare Yuhiñ Agar Gusl Me Saare Badan Par Paani Baha Sakta Ho Magar Sar Dhona Dar Kinaar Masah Bhi Na Kar Sake to Gusl Ki Jagah Bhi Tayammum Kare Magar Saheeh W Mo'atimad W Mash'hoor W Mansoor Ye He Ki in Donoñ Soortoñ Me Tayammum Ki Ijazat Nahiñ Balki Wuzu Me Teenoñ Aa'aza or Gusl Me Sar Ke Siwa Sara Badan Dhoye or Sar Par Koi Patti Bandh Kar Uspar Masah Kare or Usse Nuqsaan Ho to Bilkul Chhor De Is Qadar Muaaf Rahega."
*📚(Fatawa Razviya Qadeem, Baabut Tayammum, J-1, S-642)*
Neez Isi Qism Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Tahreer Farmate Hai,
"Soorate Mustafsira Me Uski Namaz Imamat Sab Durust Hui, Asl Kulli Ye He Ki Gusl Me Agar Ba'az Jism Par Paani Daalna Muzar Ho to Kasrat Ka Aitbaar He Agar Aksar Jism Wahi He Jis Par Paani Pahunchna Zarar Dega Khwah Yuñ Ki Aariza Khud Usi Jism Me Ho Ya Yuñ Ki Us Par Daalne Se Paani Aysi Jagah Pahunchega Jahañ Pahunchne Se Zarar He to Tayammum Kare or Agar Aksar Jism Saalim He to Jis Qadar Me Muzar He Wahañ Masah Karle Baaqi Par Paani Bahaale."
*📚(Fatawa Razviya Qadeem, Kitabut Tahaarat, Baabul Gusl, J-1, S-101)*
Sadrushshariyah Allama Amjad Ali Aazmi Qudassirrahu Tahreer Farmate Hai,
"Agar Sar Par Paani Daalna Nuqsan Karta He to Gale Se Nahaaye or Pure Sar Ka Masah Karle."
*📚(Bahare Shariyat, Tayammum Ka Bayan, J-1, S-347)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Katabahu: Muhammad Anas Raza Amjadi*
*📬 Al-Mukhtasas Fil Fiqh Al-Hanfi Imam Ahmad Raza Learning And Research Centre Nasik Maharashtra*
*🗓️27 Nov 2024, 24 Jamadi Ul Awwal 1446*
*✅Qad Sahhal Jawab, Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab*
*Abul Akhtar Hazrat Allama Mufti Mushtaq Ahmad Amjadi Gufralahu*
*📬Khadim: Azhari Darul Ifta, Nasik*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment